Manga Hai Maine Maiya Se Vardaan Ek Hi (माँगा है मैने मैया से, वरदान एक ही: भजन)


Manga Hai Maine Maiya Se,
Vardaan Ek Hi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥
Jis Par Bhi Maa Ka Haath Tha,
Wo Paar Ho Gaya,
Jo Bhi Sharan Mein Aa Gaya,
Udhar Ho Gaya,
Jiska Bharosa Maiya Par,
Duba Kabhi Nahi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥

Koi Samjha Saka Nahi,
Maya Badi Ajib,
Jisne Bhi Maa Ko Pa Liya,
Hai Wo Hi Khusnasib,
Maiya Ki Marji Ke Bina,
Patta Hile Nahi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥

Aasi Dayalu Maiya Se,
Rishta Banaiye,
Milta Rahega Aapko,
Jo Kuch Bhi Chahiye,
Asa Karisma Hoga Jo,
Pahale Hua Nahi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥

Kahate Hai Log Jindegi,
Kismat Ki Baat Hai,
Kasmat Banana Bhi Magar,
Maiya Ke Haath Hai,
‘Banawari’ Kar Le Tu Yakin,
Jyada Samay Nahi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥

Manga Hai Maine Maiya Se,
Vardaan Ek Hi,
Teri Krupa Bani Rahe,
Jab Tak Hai Jindegi ॥
माँगा है मैने मैया से, वरदान एक ही: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँगा है मैने मैया से, वरदान एक ही, तेरी कृपा बनी रहे, जब तक है ज़िंदगी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya

Aaj Biraj Mein Hori Re Rasiya, Hori Re Hori Re Barajori Re Rasiya...

Holi Bhajan: Holi Khel Rahe Nandlal

Holi Khel Rahe Nandalal Vrindavan Kunj Galin Mein। Vrindavan Kunj Galin Mein, Vrindavan Kunj Gali

Holi Bhajan: Faag Khelan Barasane Aaye Hain Natwar Nand Kishore

Faag Khelan Barasane Aaye Hain, Natwar Nand Kishore । Gher Lai Sab Gali Rangili, Chhay Rahi Chhabi Chhata Chhabili.

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Shri Krishna Govind Hare Murari

Shri Krshna Govind Hare Murari, He Nath Narayan Vasudeva॥ He Nath Narayan...