Mata Meri Laaj Rakh Le (मैया मेरी लाज रख ले: भजन)


Tere Charanon Mein Shish Main Jhukaun,
Tere Hi Gun Gaun,
O Mata Meri Laaj Rakh Le,
Laaj Rakh Le,
Aur Kiske Dwar Pe Main jaun,
Maiya Ji Meri Laaj Rakh Le O Maa ॥
Milta Nahi Jo Kahi,
Saare Sansar Main,
Milta Hai Wo Tere,
Sachhe Darbar Main,
Tere Bhare Hai Bhandare Sherowali,
Tu Jag Se Nirali,
Hai Puje Sansar Tujhko,
Sansar Tujhko Maiya,
Unche O Pahado Wali,
Hai Puje Sansar Tujhko Meri Maa ॥

Teri Jyot Ka Hai,
Ujiara Kaan Kaan Mein,
Tu Hi Kare Dur Andhiara,
Ek Khyan Mein,
Bujhe Dilon Ko Tu,
Roshan Kar De,
Jo Dukho Se Bhare Hai,
Maa Unko Tu Deti Hai Khusi,
Deti Hai Khushi Jotawaliye,
Tu Jholiyan Bhare Hai Meri Maa ॥

Aaya Leke Aash Maiya,
Main Bhi Tere Dwar Pe,
Balak Nadan Pe tu,
Kar Upkar De,
Mukh Baalon Ko Se,
Kabhi Na Maa Mode,
Na Wada Kabhi Tode,
Maa Karti Hai Pyar Sabko,
Pyar Sabak Kabhi Bichh,
Majhadhar Main Na Chode,
Maa Karti Hai Pyar Sabko Meri Maa ॥

Karun Main Aaradhana,
Sawere Shaam Meri Maa,
Ho Ke Tu Dayal,
Bedi Paar Kar Meri Maa,
Tere Dwar Se,
Jaunga Na Mein Khali,
O Meherowali,
Maa Sun Le Tu Meri Binti,
Meri Binti Khada Dar Par,
Hai Lakhkha Ye Sawali,
Maa Sunle Tu Meri Binti O Maa ॥

Tere Charanon Mein Shish Main Jhukaun,
Tere Hi Gun Gaun,
O Mata Meri Laaj Rakh Le,
Laaj Rakh Le,
Aur Kiske Dwar Pe Main jaun,
Maiya Ji Meri Laaj Rakh Le O Maa ॥
मैया मेरी लाज रख ले: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे चरणों में शीश मैं झुकाऊं, तेरे ही गुण गाऊं, ओ माता मेरी लाज रख ले, लाज रख ले, और किसके द्वारे पे मैं जाऊं, मैया जी मेरी लाज रख ले ओ माँ ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi, Sakal Vighan Kar Door Hamare, Pratham Dhare Jo Dhyan Tumharo..

Gauri Ganesh Manau Aaj Sudh Lije Hamari

Gauri Ganesh Manaon, Aaj Sudh Leeje Hamaari । Surahin Gaiya Ko Gobar Managaun, Dig Dhar Agana Leepaon..

Sun Radhika Dulari Main

Sun Radhika Dulari Mein, Hoon Dwar Ka Bhikhari, Tere Shyam Ka Pujari..

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati

Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati, Aapki Meharbani Humen Chahiye, Pahle Sumiran Karoon Ganpati Aapka, Lab Pe Mithi Si Vani Humen Chahiye, Riddhi Siddhi Ke Data Suno Ganpati ॥

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman

Ganpati Karte Charno Mein Hum Hai Naman, Kare Pooja Tumhari Sab Hoke Magan, Shiv Gaura Ke Laal Ko Dhyate Hai Hum, Hey Ganpati Tumko Manate Hai Hum, Ganpati Karate Charano Mein Hum Hai naman,
Kare Pooja Tumhari Sab Ho Ke Magan ॥