Mera Aap Ki Kripa Se Sab Kam Ho Raha Hai (मेरा आपकी दया से सब काम हो रहा है - भजन)


Mera Aapki Daya Se Sab Kaam Ho Raha Hai ।
Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai.
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥
Patvaar Ke Bina Hi Meri Naav Chal Rahi Hai ।
Hairan Hai Zamana Manjil Bhi Mil Rahi Hai ।
Karta Nahin Main Kuchh Bhi, Sab Kaam Ho Raha Hai.
Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai.

Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ।
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥

Tum Sath Ho Jo Mere, Kis Chij Ki Kami Hai ।
Kisi Aur Chij Ki Ab Darkar Hi Nahin Hai ।
Tere Sath Se Gulam Ab Gulpham Ho Raha Hai ॥

Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ।
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥

Main to Nahin Hoon Kabil, Tera Paar Kaise Paoon ।
Tooti Huyi Vani Se Gungan Kaise Gaoon ।
Teri Prerna Se Hi Sab Yah Kamaal Ho Raha Hain ॥

Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ।
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥

Mujhe Har Kadam Kadam Par, Tune Diya Sahara ।
Meri Zindagi Badal Di, Tune Karke Ek Ishara ।
Ehsan Pe Tera Ye, Ehsan Ho Raha Hai.

Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ।
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥

Toophan Andhiyon Mein, Tune Hai Mujhko Thama ।
Tum Krishn Ban Ke Aae, Main Jab Bana Sudama ।
Tere Karam Se Ab Ye, Sare Aam Ho Raha Hai ॥

Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ।
॥ Mera Aapki Daya Se… ॥

Mera Aapki Daya Se Sab Kaam Ho Raha Hai ।
Karte Ho Tum Kanhiya Mera Naam Ho Raha Hai ॥
मेरा आपकी दया से सब काम हो रहा है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरा आपकी दया से सब काम हो रहा है। करते हो तुम कन्हिया मेरा नाम हो रहा है॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanVinod Agarwal Bhajan

Other Popular Mera Aap Ki Kripa Se Sab Kam Ho Raha Hai Video

Mera Aap Ki Kripa Se Sab Kam Ho Raha Hai By Pujya Prembhushanji Maharaj

Sarojini Ghosh

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥