Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tere Charno Me (मिलता है सच्चा सुख केवल भगवान - भजन)


Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tumhare Charno Mein ।
Yah Vinti Hai Pal Pal Chhin Ki, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥
Chaahe Bairi Sab Sansar Bane, Chaahe Jeevan Mujh Par Bhar Bane ।
Chaahe Maut Gale Ka Har Bane, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥
॥ Milta Hai Sachha Sukh Keval… ॥

Chaahe Agni Mein Mujhe Jalna Ho, Chaahe Katon Pe Mujhe Chalna Ho ।
Chaahe Chhodke Desh Nikalna Ho, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥
॥ Milta Hai Sachha Sukh Keval… ॥

Chaahe Sankat Ne Mujhe Ghera Ho, Chaahe Chaaron Aur Andhera Ho ।
Par Man Nahin Dag Mag Mera Ho, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥
॥ Milta Hai Sachha Sukh Keval… ॥

Jivha Par Tera Naam Rahe, Tera Dhyan Subah Aur Shaam Rahe ।
Teri Yaad to Aathon Yam Rahe, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥

Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tumhare Charno Mein ।
Yah Vinti Hai Pal Pal Chhin Ko, Rahe Dhyan Tumhare Charno Mein ॥
मिलता है सच्चा सुख केवल भगवान - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मिलता है सच्चा सुख केवल भगवान् तुम्हारे चरणों में। यह विनती है पल पल छिन की...
Bhajan Shri Vishnu BhajanShri Ram BhajanShri Krishna BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Milta Hai Sachha Sukh Keval Bhagwan Tere Charno Me Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me

Man Leke Aaya, Mata Rani Ke Bhawan Main, Bada Sukh Paya, Bada Sukh Paya, Mata Rani Ke Bhawan Main

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Jara Phool Bicha Do Aangan Mein Meri Maiya Aane Wali Hai

Jara Phool Bicha Do Aangan Mein, Meri Maiya Aane Wali Hai, Meri Maiya Aane Wali Hai, Meri Maiya Aane Wali Hai, Jara Phool Bicha Do Aangan Mein, Meri Maiya Aane Wali Hai ॥

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr