Mujhe Apni Sharan Me Lelo Ram (मुझे अपनी शरण में ले लो राम - भजन)


Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Lochan Man Mein Jagah Na Ho To
Jugal Charan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Jeevan Deke Jaal Bichhaaya
Rach Ke Maya Nach Nachaya
Chinta Meri Tabhi Mitegi
Jab Chintan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram!

Tu Ne Lakhon Papi Taare
Meri Bari Baji Haare, Baji Haare
Mere Paas Na Punya Ki Poonji
Pad Pujan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram!

Ram He Ram, Ram He Ram
Dar Dar Bhatkoon Ghar Ghar Atkoon
Kahan Kahan Apna Sar Patkoon
Iss Jeevan Mein Milo Na Tum to Ram, He Ram!
Iss Jeevan Mein Milo Na Tum to,
Mujhe Maran Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!

Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Lochan Man Mein Jagah Na Ho To
Jugal Charan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
मुझे अपनी शरण में ले लो राम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुझे अपनी शरण में ले लो राम, ले लो राम! लोचन मन में जगह न हो तो...
Bhajan Shri Ram BhajanJanki BhajanMata Sita BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah Bhajan

Other Popular Mujhe Apni Sharan Me Lelo Ram Video

Pt Gyanendra Sharma

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Teri Jata Se Behti Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara Kali Ghata Mein Chamke, Jaise Koi Sitara ।

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me

Aa Jao Bhole Baba Mere Makan Me, Tera Dam Dam Damaroo Bole Sare Jahan Mein॥ Sun Damaroo Ki..

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo

Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo, Ghat Bhar Ke Ganga Jai Se Kavad Liye Bharo,
Shiv Ji Bhula Rahe Hai Shiv Dham Ko Chalo ॥

Baba Nene Chaliyo Hamaro Apan Nagari

Auro Baharab Ahan Ke Dehari Baba, Auro Baharab Ahan Ke Dehari, Baba Nene Chaliyau Hamaro Apan Nagari..

Meri Laaj Rakhna Bhole Meri Laaj Rakhna

Meri Laaj Rakhna, Tere Dware Aaya Mein Baba, Teri Sharan Mein aaya Mein Baba, Meri Laaj Rakhna Meri Laaj Rakhna ॥