Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Mujhe Apni Sharan Me Lelo Ram (मुझे अपनी शरण में ले लो राम - भजन)


Mujhe Apni Sharan Me Lelo Ram
Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Lochan Man Mein Jagah Na Ho To
Jugal Charan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Jeevan Deke Jaal Bichhaaya
Rach Ke Maya Nach Nachaya
Chinta Meri Tabhi Mitegi
Jab Chintan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram!

Tu Ne Lakhon Papi Taare
Meri Bari Baji Haare, Baji Haare
Mere Paas Na Punya Ki Poonji
Pad Pujan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram!

Ram He Ram, Ram He Ram
Dar Dar Bhatkoon Ghar Ghar Atkoon
Kahan Kahan Apna Sar Patkoon
Iss Jeevan Mein Milo Na Tum to Ram, He Ram!
Iss Jeevan Mein Milo Na Tum to,
Mujhe Maran Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!

Mujhe Apni Sharan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!
Lochan Man Mein Jagah Na Ho To
Jugal Charan Mein Le Lo Ram, Le Lo Ram!

मुझे अपनी शरण में ले लो राम - भजन हिन्दी में पढ़ें

मुझे अपनी शरण में ले लो राम, ले लो राम! लोचन मन में जगह न हो तो...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanJanki BhajanMata Sita BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah Bhajan

Other Popular Mujhe Apni Sharan Me Lelo Ram Video

Pt Gyanendra Sharma

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,

Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali

Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali । Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।

Har Baat Ko Tum Bhulo Bhale Maa Bap Ko Mat Bhulna

Har Baat Ko Bhoolo Magar, Maan Baap Mat Bhoolana, Upakaar Inake Laakhon Hai, Is Baat Ko Mat Bhoolana

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP