Na Jee Bhar Ke Dekha Naa Kuch Baat Ki (ना जी भर के देखा, ना कुछ बात की - भजन)


Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ।
Karo Drshti Ab to Prabhu Karuna Ki,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥
Gaye Jab Se Mathura Vo Mohan Murari,
Sabhi Gopiya Brij Mein Vyakul Thi Bhari ।
Kaha Din Bitaya, Kahan Raat Ki,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥

Chale Aayo Ab to O Pyare Kanhiya,
Yah Sooni Hai Kunjan Aur Vyakul Hai Gaiya ।
Suna Do Ab to Inhen Dhun Murli Ki,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥

Ham Baithe Hain Gum Unka Dil Mein Hi Pale,
Bhala Aise Mein Khud Ko Kaise Sambhale ।
Na Unki Suni Na Kuchh Apni Kahi,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥

Tera Muskurana Bhala Kaise Bhulen,
Vo Kadman Ki Chhaiya, Wo Sawan Ke Jhoole ।
Na Koyal Ki Koo Koo, Na Papiha Ki Pi,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥

Tamanna Yahi Thi Ki Ayenge Mohan,
Main Charnon Mein Varungi Tan Man Yah Jeevan ॥
Haay Mera Yah Kaisa Bigda Naseeb,
Badi Aarzoo Thi, Mulakat Ki ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
ना जी भर के देखा, ना कुछ बात की - भजन - हिन्दी में पढ़ें
ना जी भर के देखा, ना कुछ बात की, बड़ी आरजू थी, मुलाकात की । करो दृष्टि अब तो प्रभु करुना की..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanJanmashtami BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanShri Radha Krishna BhajanFagan Mela BhajanShri Shayam BhajanKhatu Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ho Ho Balaji Mera Sankat Kato Ne

Ho Ho Balaji Mera Sankat Kato Ne, Ho Idhar Udhar Na Dol Rahaya

Jis Par Ho Hanuman Ki Kripa

Jis Par Ho Hanuman Ki krpa, Taqdir Ka Dhani Wo Nar Hai, Rakhwala Ho Maruti Nandan, Phir Kis Baat Ka Dar Hai,
Bhajan Pawan Sut ka KIjiye, Naam Amrut Ka Pyala Pijiye ॥

Hai Purushottam Shri Ram Karuna Nidhan Bhagwan

Hey Purushottam Shriram, Karunanidhan Bhagwan ॥

Fariyad Meri Sun Ke Hanuman Chale Aana

Fariyad Meri Sun Ke Hanuman Chale Aana, Main Dhyan Dharu Tera Bigadi Ko Tum Banana, Ram Ram Boli Jay Siyaram, Ram Ram Bolo Jay Siyaram ॥

Mere Ghar Ram Aaye Hai

Meri Chaukhat Pe Chalake Aaj, Chaaron Dhaam Aae Hai, Bajao Dhol Swagat Mein, Mere Ghar Ram Aaye Hai, Mere Ghar Ram Aaye Hai ॥