O Morchadi Wale Kab Tak Teri Raah Taku (ओ मोरछड़ी वाले, कब तक तेरी राह तकूँ: भजन)


O Morachhadi Wale,
Kab Tak Teri Raah takun,
Laaj Bacha Le Baba,
Hare Ka Sahara Tu ॥
Kese Kahun Tujhe,
Kitna Main Chahun,
Har Pal Main Baba,
Tumhi Ko Bulaun,
Tum Bin Jiya Mera,
Lage Kahi Na,
Charanon Se Tere,
Kahi Na Jaun,
O Shish Ke Dani Mere,
Teri Khatir Aaya Hun,
Bigadi Bana De Baba,
Hare Ka Shahara Tu,
Laaj Bacha Le Baba,
Hare Ka Sahara Tu ॥

Ringas Ke Kan Kan Main,
Tumhi Ho Samaye,
Bhakton Ke Dil Mein,
Tumhi Ho Basaye,
Aata Rahunga,
Wada Hai Mera,
Jab Jab Tu Mujhako,
Khatu Bulaye,
Din Bhar Tum Saath Mere,
Sapno Main Bhi Aaya karo,
Kismat Bana De Baba,
Hare Ka Shahara Tu,
Laaj Bacha Le Baba,
Hare Ka Sahara Tu ॥

O Morachhadi Wale,
Kab Tak Teri Raah takun,
Laaj Bacha Le Baba,
Hare Ka Sahara Tu ॥
ओ मोरछड़ी वाले, कब तक तेरी राह तकूँ: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ मोरछड़ी वाले, कब तक तेरी राह तकूँ, लाज बचा ले बाबा, हारे का सहारा तू ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan, Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan, Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ram Tumhara Naam

Ram Tumhara Naam, Sukhon Ka Saar Hua, Ram Lehar Main Jo Dooba, Bas Wo Hi Par Hua..

Gira Ja Raha Hu Utha Lo

Prabhu Apane Dar Se, Ab to Na Taalo, Gira Ja Raha Hoon, Utha Lo Utha Lo, Khali Na Jata Koi Dar Se Tumhare..