O Sanware Data Mere Tera Shukriya Hai (ओ सांवरे दाता मेरे, तेरा शुक्रिया है: भजन)


Mujhe Jo Bhi Kuch Mila Hai,
Tumne Hi Sab Diya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai ॥
Meri Kuch Bhi Na Aukat Thi,
Bigdi Meri Har Ek Baat Thi,
Aisa Mujhpe Karam Kar Diya,
Khushiyon Ki Mujhko Saugaat Di,
Har Ek Vipda Meri,
Ko Tumne Har Liya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai ॥

Meri Har Ek Jarurat Prabhu,
Aapne Poori Kar Di Prabhu,
Maangne Bhi Na Mujhko Diya,
Pahale Hi Jholi Bhar Di Prabhu,
Tera Hi Diya Mainne,
Prabhu Khaya Aur Piya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai ॥

Tere Kabil Kahan Main Hari,
Phir Bhi Tumne Hai Karuna Kari,
Har Janam Bas Karte Rahe,
‘Chitr Vichitr’ Teri Naukri,
Humen Vrindavan Basa Ke,
Upkar Ye Kiya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai ॥

Mujhe Jo Bhi Kuch Mila Hai,
Tumne Hi Sab Diya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai,
O Sanware Data Mere,
Tera Shukriya Hai ॥
ओ सांवरे दाता मेरे, तेरा शुक्रिया है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुझे जो भी कुछ मिला है, तुमने ही सब दिया है, ओ साँवरे दाता मेरे, तेरा शुक्रिया है, ओ सांवरे दाता मेरे, तेरा शुक्रिया है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare | Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana

Gaiye Ganpati Jagvandan Shankar Suwan

Gaiye Ganpati Jagvandan, Shankar Suwan Bhawani Nandan, Ganpati Jagvandan,
Gaiye Ganpati Jagvandan ॥

Om Jai Gauri Nanda

Om Jai Gauri Nanda, Prabhu Jai Gauri Nanda, Ganpati Anand Kanda, Ganpati Anand Kanda, Main Charnan Vanda, Om Jai Gauri Nanda ॥

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..