O Sherawali Maa Kya Khel Rachaya Hai (ओ शेरावाली माँ, क्या खेल रचाया है: भजन)


O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai,
Tu Pyar Ka Sagar Hai,
Tu Man Ka Kinara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥
Dekhi Hai Teri Duniya,
Kya Rachna Rachai Hai,
Din Raat Ke Chakkar Mein,
Kuch Samajh Na Aai Hai,
Har Pal Jo Beet Raha,
Maan Tera Ishaara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥

Mahlon Mein Bhi Duhkh Dekhe,
Aur Sadko Pe Khushhaali,
Koi Raja Hai Kismat Ka,
Koi Kismat Se Khali,
Sab Teri Leela Hai,
Sab Tera Fasana Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥

Koi Phoolon Pe So Na Sake,
Koi Kaanto Mein Hansta Hai,
Kahi Maut Hui Sasti,
Kahi Jeevan Mahanga Hai,
Koi Khushiyon Mein Dooba Hai,
Koi Gum Ka Mara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥

Koi Janm Se Pahale Mare,
Koi Mar Ke Bhi Jeeta Hai,
Koi Ghaav Lagata Hai,
Koi Jakhmon Ko Seeta Hai,
Ye Kaisi Hakikat Hai,
Ye Kaisa Nazara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥

Koi Duhkh Ko Sukh Samjhe,
Koi Sukh Mein Bhi Rota Hai,
Aasha Aur Trishna Ka,
Kabhi Ant Na Hota Hai,
Is Bhool Bhulaiya Mein,
Pada Daas Bechara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥

O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai,
Tu Pyar Ka Sagar Hai,
Tu Man Ka Kinara Hai,
O Sherawali Maan,
Kya Khel Rachaya Hai ॥
ओ शेरावाली माँ, क्या खेल रचाया है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ शेरावाली माँ, क्या खेल रचाया है, तू प्यार का सागर है, तू मन का किनारा है, ओ शेरावाली मां, क्या खेल रचाया है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular O Sherawali Maa Kya Khel Rachaya Hai Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gopi Geet - Jayati Te Dhikam Janmana

Jayati Tedhikan Janmana Vrajah Shrayat Indira Shashvadatr Hi । Dayit Drshyatan Dikshu Tavaka Stvayi Dhrtasavastvan Vichinvate ॥

Luto Luto Re Harivansh Naam Anmol

Luto Luto Re Harivansh Naam Anmol, Lutaun Gali Gali Harivansh Naam Anmol । Pyaaro Shri Harivansh Naam Anmol ।

Mahalaxmi Jaap Karo

Mahalakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam, Ashta Lakshmi Jaap Karo Subah Sham Aathon Yaam

Maa Gauri Ke Lal Gajanan

Maa Gauri Ke Lal Gajanan, Aaj Aao Padharo Mere Aangan, Gauri Shankar Ke Laal Gajanan ॥

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥