Parde Me Bethe Bethe Yun Na Muskuraiye (परदे में बैठे, यूँ ना मुस्कुराइये - भजन)


Parde Mein Baithe-baithe,
Yoon Na Muskuraiye,
Aa Gaye Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥
Parda Tera Hamen Nahin,
Manjoor Sanware,
Baitha Hai Chhup Ke Deewano Se,
Kyon Door Sanware,
Main Bhi to Aaya Do Kadam,
Jara Tum Bhi Badhaiye,
Aage Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥

Hum Chahne Wale Hain Tere,
Hume Hai Tumse Mohabbat,
Kar Do Karam Jara Dikha Do,
Ab Sanwari Surat,
Pyasi Nigahe Deed Ki,
Jara Najre Milaiye,
Aa Gaye Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥

Teri Ik Jhalak Ko Pyare,
Mera Ab Dil Bekarar Hai,
Deedar Ki Tamanna Mujhe Ab,
Tera Intajar Hai,
Rah-rah Ke humen is Tarah,
Yoon Na Sataiye,
Aa Gaye Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥

Tu Hu Jindagi Hai Bandagi,
Tu Hi Aarju Hamari,
Armaan Mere Dil Ka Karo,
Poora Banke Bihari
Chitra Vichtra Ko Apne Prem Ka,
Pagal Banaiye ,
Aa Gaye Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥

Parde Mein Baithe-baithe,
Yun Na Muskuraiye,
Aa Gaye Tere Deewane,
Jara Parda Hataiye ॥
परदे में बैठे, यूँ ना मुस्कुराइये - भजन - हिन्दी में पढ़ें
परदे में बैठे बैठे, यूँ ना मुस्कुराइये, आ गए तेरे दीवाने...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanLaddu Gopal BhajanRadhashtami BhajanPhalguna BhajanIskcon BhajanShri Shyam BhajanChitra Vichitra Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Shankar Damru Dhari Hai Jag Ke Aadhar

Shiv Shankar Damru Dhari, Hai Jag Ke Aadhar, Teeno Lok Pe Rahata Hai, Unka Hi Adhikar, Shiv Shankar Damru Dharin, Hai Jag Ke Aadhar ॥

Kailash Shikhar Se Utar Kar

Kailash Shikhar Se Utar Kar, Mere Ghar Aaye Hai Bhole Shankar ॥

Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila

Mukadar Mera Ban Hi Gaya, Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila, Maan Ka Andhera Mit Sa Gaya, Bhole Ke Dar Se Sab Kuch Mila ॥