Patal Vijay Karke Aaye Ulte Hanuman Ji (पाताल विजय करके आए, उल्टे हनुमान जी)


Ulat Palat Kar Di Lanka,
Veer Balban Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥
Indaur Ujjain Ke Hi Bich,
Nagar Ek Pyaara,
Naam Sanver Us Nagar Ka,
Hai Bada Nyaara,
Yahaan Sanver Mein Hi,
Ulte Hanuman Base,
Hue Pataal Vijay,
Mere Hanuman Kaise,
Roop Yahaan Bajarang Ka,
Karata Hairaan Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥

Ahiravan Mahiravan,
Daity Aise Mile,
Ram Lakshman Ko Vo,
Patal Chhal Se Leke Chale,
Ram Lakshman Ke Pichhe,
Banake Unaki Dhaal Chalen,
Yahi Se Ulate Hokar,
Bajarang Patal Chale,
Naam Tabhi Hua Inaka,
Ulte Hanuman Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥

Donon Danav Ko Hi,
Patal Jake Maar Diya,
Ram Lakshman Ko Unake,
Bandhan Se Mukt Kiya,
Ieenon Hi Lok Hanuman Ki,
Jay Kaar Karen,
Isee Khushi Mein Hanuman,
Ashtami Bhi Mane,
Inake Jaisa Sevak Na,
Duja Mahaan Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥

Kaam Mushkil Se Bhi Mushkil,
Sabhi Aasaan Karen,
Jo Koi Bhi Na Kar Sake,
Vo Hanuman Kare,
Kare Jo Bhakti Maan Se,
In Par vishvaas Karen,
Mita Ke Kasht Unake,
Baba Puri Aas Karen,
Saare Jag Mein Unchi,
‘Jayant’ Inaki Shaan Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥

Ulat Palat Kar Di Lanka,
Veer Balban Ji,
Patal Bijay Kar ke Aaye,
Ulte Hanuman Ji,
Jay Jay Shree Ram Ki,
Jay Hanuman Ki ॥
पाताल विजय करके आए, उल्टे हनुमान जी - हिन्दी में पढ़ें
उलट पलट कर दी लंका, वीर बलवान जी, पाताल विजय करके आए, उल्टे हनुमान जी, जय जय श्री राम की, जय हनुमान की ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hamari Pyari Radha Ke Ratan Rangile Naina

Hamari Pyari Radha Ke, Ratna Rangile Naina, Ras Barse Ras Roop Madhuri, Rasmay Rasile Baina...

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Chhath Pooja Geet

Bhakti Bharat brings to you the folk songs and bhajans sung during this holy festival, including the lyrics and videos of the songs.

Kala Kala Sanwariyan Hari Hari Tulsi

A popular devotional song (bhajan) sung during the month of Kartik and on the occasion of Tulsi Vivah Kala Kala Sanvariyan Hari Hari Tulsi, Bansi Bajave Sanwariya Lehre Leve Tulsi By Bhakti Bharat.