Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne (रचा है श्रष्टि को जिस प्रभु ने - भजन)


Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai,
Jo Ped Humne Lagaya Pahale,
Usi Ka Phal Hum Ab Pa Rahe Hai,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai ॥
Isi Dhara Se Sharir Paye,
Isi Dhara Mein Phir Sab Samaye,
Hai Satya Niyam Yahi Dhara Ka,
Hai Satya Niyam Yahi Dhara Ka,
Ek Aa Rahe Hai Ek Ja Rahe Hai,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai ॥

Jinhone Bheja Jagat Mein Jaana,
Tay Kar Diya Laut Ke Phir Se Aana,
Jo Bhejne Wale Hai Yahan Pe,
Jo Bhejne Wale Hai Yahaan Pe,
Wahi to Wapas Bula Rahe Hai,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai ॥

Baithe Hai Jo Dhan Ki Baliyo Mein,
Samaye Mehndi Ki Laliyo Mein,
Har Daal Har Patte Mein Samakar,
Har Daal Har Patte Mein Samakar,
Gul Rang Birange Khila Rahe Hai,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai ॥

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai,
Jo Ped Humne Lagaya Pahale,
Usi Ka Phal Hum Ab Pa Rahe Hai,
Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne,
Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai ॥
रचा है श्रष्टि को जिस प्रभु ने - भजन - हिन्दी में पढ़ें
रचा है सृष्टि को जिस प्रभु ने, वही ये सृष्टि चला रहे है, जो पेड़ हमने लगाया पहले...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya Bhajan

Other Popular Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne Video

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne By Dhiraj kant

Prakash Gandhi

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chhoti Si Meri Parvati

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se..

Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kehne

Ek Din Maiya Parvati, Bhole Se Lagi Kehne, Mujhko Bhi Ghadava Do Mere Swami, Sone Ke Gahane ॥

Choti Si Meri Parvati Shankar Ki Puja Karti Thi

Chhoti Si Meri Parvati, Shankar Ki Pooja Karti Thi, Nirjal Rahakar Nishchhal Man Se, Nit Dhyan Prabhu Ka Dharti Thi..

Parvati Tera Bhola Jagat Me Sabse Nirala Hai

Parvati Tera Bhola, Jagat Mein Sabse Nirala Hai । Jo Mai Hoti Ganga Jaisi

Har Har Shambhu

Har Har Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva, Shambhu Shambhu Shambhu Shambhu Shiv Mahadeva..