Rahe Sang Tera Naam Prabhu Har Pal Mere Jeevan Mein (रहे संग तेरा नाम प्रभु हर पल मेरे जीवन में: भजन)


Rahe Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein,
Nahi Pal Koi Aisa Ho,
Jis Pal Tu Na Ho Man Mein
Rahen Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein ॥
Nadan Hoon Main Nirgun,
Bas Gun Yahi Paya Hai,
Tere Naam Ke Moti Se,
Jag Apna Sajaya Hai,
Yun Hi Tere Naam Ratan,
Barse Mere Aangan Mein,
Rahen Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein ॥

Jab Band Karoon Aankhe,
Man Mera Chahakta Hai,
Ehsaas Tera Bhagwan,
Saanso Mein Mahakta Hai,
Khushbu Ye Bani Rahe,
Mere Man Madhuban Mein,
Rahen Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein ॥

Apno Ke Chhal Se Jab,
Antar Ye Jhulas Jata,
Tere Naam Ke Chintan Se,
Man Sheetal Ho Jata,
‘Ankush’ Ye Shitalta,
Rahe Ab Antarman Mein,
Rahen Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein ॥

Rahe Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein,
Nahi Pal Koi Aisa Ho,
Jis Pal Tu Na Ho Man Mein
Rahen Sang Tera Naam Prabhu,
Har Pal Mere Jeevan Mein ॥
रहे संग तेरा नाम प्रभु हर पल मेरे जीवन में: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रहे संग तेरा नाम प्रभु, हर पल मेरे जीवन में, नही पल कोई ऐसा हो, जिस पल तू ना हो मन में रहें संग तेरा नाम प्रभु, हर पल मेरे जीवन में ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanRadhashtami BhajanBanke Bihari BhajanGhanshyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Aarti Jai Jai Shanidev Maharaj

Jai Jai Shani Dev Maharaj, Jan ke Sankat Harane Wale। Tum Surya Putra Balidhari..

Hanumat Jay Bajrangbali

Hanumat Jay Bajarangabali, Aapaka Naam Japa Hai Jisane, Vipada Usaki Tali, Pavanasut Jay Bajarangabali ॥

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave

Swarna Parvatakar Sarira Shri Hanuman kahave, Salasar Ke Swarn Kalash Par Laal Dhwaj Laharaye ॥

Darbar Saja Tera Nyara Nirkhat Nirkhat Main Hara

Darbar Saja Tera Nyara, Nirakhat Nirakhat Main Hara ॥

Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani

Ram Bhakt Le Chala Re, Ram Ki Nishani, Sheesh Par Khadaun, Akhiyon Mein Pani, Ram Bhakt Len Chala Re, Ram Ki Nishani ॥