Raho Mein Phool Bichaungi (राहो में फूल बिछाऊँगी - भजन)


Rahon Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Siya Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥
Main Chun Chun Kaliyan Laungi,
Hathon Se Haar Banaungi,
Main Unko Haar Pahnaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥

Main Chandan Chauki Bichhaungi,
Phoolon Se Use Sajaungi,
Main Prem Se Unhen Bithaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥

Main Chhappan Bhog Banaungi,
Hathon Se Unhen Khilaungi,
Main Prem Se Unhen Khilaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥

Main Ro Ro Unhen Manaungi,
Ga Ga Kar Unhen Sunaungi,
Main Apna Haal Bataungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥

Main Phoolon Ki Sej Bichhaungi,
Jhalar Ka Takiya Lagaungi,
Main Unke Charan Dabaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥

Rahon Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge,
Siya Ram Mere Ghar Aayenge,
Raho Mein Phool Bichhaungi,
Jab Ram Mere Ghar Aayenge ॥
राहो में फूल बिछाऊँगी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राहों में फूल बिछाऊँगी, जब राम मेरे घर आएंगे, जब राम मेरे घर आएंगे, सियाराम मेरे घर आएंगे, राहो में फूल बिछाऊँगी, जब राम मेरे घर आएंगे ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tuti Jhupdiya Meri Maa Garib Ghar Aajana

Tuti Jhupdiya Meri Maan, Garib Ghar Aa Jana । Bade Bade Log Maiya Jagran Karaye

Hey Muralidhar Chhaliya Mohan

Hey Murlidhar Chhaliya Mohan, Hum Bhi Tumko Dil De Baithe, Gam Pahle Se Hi Kam to Na the

Ram Ji Se Puche Janakpur Ki Nari

Ram Ji Se Puchhe Janakpur Ki Nari, Bata Da Babua Logva Det Kahe Gaari, Bata Da Babua ॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..