Ram Dashrath Ke Ghar Janme (राम दशरथ के घर जन्मे - भजन)


Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Log Darshan Ko Chal Aaye,
Suhana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥
Yagy Ke Kaam Karne Ko,
Munishwar Le Gaya Van Mein,
Udaye Shesh Daityan Ke,
Nishana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Dhanush Ko Jaye Kar Toda,
Janak Ki Rajdhani Mein,
Bhop Sab Man Mein Sharmaye,
Lajana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Pita Ki Maan Kar Aagya,
Ram Ban Ko Chale Jab Hi,
Na Chhoda Sang Sita Ne,
Janana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Siya Ko Le Gaya Ravan,
Banakar Bhesh Jogi Ka,
Karaya Nash Sab Apna,
Deewana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Preet Sugreev Se Karke,
Giraya Baan Se Baali,
Dilai Naar Phir Uski,
Yarana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Gaya Hanuman Sita Ki,
Khabar Lene Ko Lanka Mein,
Jalakar Ke Nagar Aaya,
Sayana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Bandh Setu Samundar Mein,
Utara Paar Sena Ko,
Mitaya Vansh Ravan Ka,
Harana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Raaj Dekar Vibhishan Ko,
Ayodhya Lautkar Aaye,
Vo Bramhanand Bal Apna,
Dikhana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥

Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Gharana Ho to Aisa Ho,
Log Darshan Ko Chal Aaye,
Suhaana Ho to Aisa Ho,
Ram Dashrath Ke Ghar Janme,
Gharana Ho to Aisa Ho ॥
राम दशरथ के घर जन्मे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम दशरथ के घर जन्मे, घराना हो तो ऐसा हो, घराना हो तो ऐसा हो, लोग दर्शन को चल आये, सुहाना हो तो ऐसा हो, राम दशरथ के घर जन्मे, घराना हो तो ऐसा हो ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Mandir Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chandan Hai Is Desh Ki Mati

Chandan Hai Is Desh Ki Mati, Tapobhoomi Har Gram Hai . Har Bala Devi Ki Pratima, Bachcha Bachcha Ram Hai

Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai

Hum Haar Maan Ne Vale Insan Nahi Hai, Jo Pith Dikha Kar Bhage Vo Bejan Nahi Hai, Sur Veero Ki Bhumi Hum Jis Dhara Pe Rahte Hai, Us Desh Ko Duniya Mein Hindustan Kehte Hai ॥

Bharat Hai Pehchan Meri

Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri, Duniya Mein Sabse Nyara Mujhe Desh Jaan Se Pyara Hai, Bas Hi Swarg Dwar Iske Liye To Harpal Hajir Jaan Mei, Bharat Hai Pehchan Meri Aor Tiranga Shan Meri ॥

Vande Mataram - National Song

National Anthem - Jana Gana Mana

Hamara Pyara Hindudweep

Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Ab Utho Jago Hey Aaryavir! Uttaal Prachand Samarasindhu Samip, Hey Subhat-Vikat-Vikaral-Kal, Prakhar-Prabal-Shur-Shastrapani Mahip,
Vishvahrday Yah Bharat-Bhushit, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip, Hamara Pyara Hindudvip, Ham Hain Isake Prahari Aur Pradip ॥