Ram Ke Rang Mein Ranga Hua Hai Anjani Sut Bajrangbala (राम के रंग में रंगा हुआ है, अंजनीसुत बजरंग बाला: भजन)


Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai,
Anjanisut Bajrang Bala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥
Ram Ke Seva Karane Khatir,
Dharati Par Avatar Liya,
Jo Bhi Agya Mili Ram Se,
Hanumat Ne Swikar Kiya,
Ram Naam Ke Mahamantr Ki,
Har Pal Ye Phere Mala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥

Panv Mein Ghungaru Bandh Ke Nache,
Haatho Mein Karatal Baje,
Prem Magan Ho Bajarangi Ka,
Swas Swas Shree Ram Bhaje,
Ram Ki Dhun Mein Mast Hoy Kar,
Naach Raha Hai Matavala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥

Tan Maan Isaka Arpan Sara,
Shree Ram Ke Charanon Mein,
Prem Ka Sagar Umad Raha Hai,
Hanuman Ke Naino Mein,
Bhakti Ki Masti Mein Isane,
Sina Phaad Dikha Dala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥

Ram Naam Ke Siva Jagat Mein,
Hanumat Ko Kuchh Na Bhaye,
Hanumat Ko Pyaara Lagata Hai,
Ram Ki Mahima Jo Gaye,
‘Binnu’ Jo Hai Ram Ka Premi,
Usaka Hai Ye Rakhavala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥

Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai,
Anjanisut Bajrang Bala,
Asa Lagata Chalak Raha Hai,
Jese Bhakti Ka Pyala,
Ram Ke Rang Main Ranga Hau Hai ॥
राम के रंग में रंगा हुआ है, अंजनीसुत बजरंग बाला: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम के रंग में रंगा हुआ है, अंजनीसुत बजरंग बाला, ऐसा लगता छलक रहा है, जैसे भक्ति का प्याला, राम के रंग मे रंगा हुआ हैं ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hamari Pyari Radha Ke Ratan Rangile Naina

Hamari Pyari Radha Ke, Ratna Rangile Naina, Ras Barse Ras Roop Madhuri, Rasmay Rasile Baina...

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Chhath Pooja Geet

Bhakti Bharat brings to you the folk songs and bhajans sung during this holy festival, including the lyrics and videos of the songs.

Kala Kala Sanwariyan Hari Hari Tulsi

A popular devotional song (bhajan) sung during the month of Kartik and on the occasion of Tulsi Vivah Kala Kala Sanvariyan Hari Hari Tulsi, Bansi Bajave Sanwariya Lehre Leve Tulsi By Bhakti Bharat.