Ram Se Bada Ram Ka Naam Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye (राम से बड़ा राम का नाम, जो सुमिरे भव पार हो जाए: भजन)


Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye,
Banenge Bigde Sab Kaam Re Prani,
Udhar Ho Jaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥
Ulta Naam Japat Naam jag Jana,
Valmiki Bhe Bramh Samana,
Ki Dhul Gaye Unke Paap Tamam,
Param Pad Anta Main Paye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Sumiri Pavanasut Paavan Nama,
Apane Vash Kari Rakheun Rama,
Hai Unke Dil Main Base Ram,
Wo Sina Phad Dikhlaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Kaushalya Maa Dhyan Lagae,
Putra Roop Main Ram Ko Pae,
Abadh Main Janam Liya Sri Ram,
Jo Pawan Dham Kahlaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Paap Aur Paapi Se Hare,
Dharti Se Jab Santa Pukare,
Ram Kiye Ashuron Ka Sanhar,
Dharam Dhyaj Aake Lehraye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Janam Let Tulshi Bole Ram,
Rambola Pada Unka Naam,
Anta Main Darsh Diye Sri Ram,
Ramayan Unse Likhbaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Ram Naam Pathar Teraye,
Sagar Pe Setu Bandwaye,
Shila Pe Likh Diya Sri Ram,
Wo Pathar Duba Na Paye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Sabri Bethi Aash Lagaye,
Kutiya Main Prabhu Ram Ji Aaye,
Bhagat Ke Bas Mein Hua Bhagban,
Wo Jhuthe Ber Bhi Khaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥

Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye,
Banenge Bigde Sab Kaam Re Prani,
Udhar Ho Jaye,
Ram Se Bada Ram Ka Naam,
Jo Sumire Bhav Paar Ho Jaye ॥
राम से बड़ा राम का नाम, जो सुमिरे भव पार हो जाए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम से बड़ा राम का नाम, जो सुमिरे भव पार हो जाए, बनेंगे बिगड़े सारे काम रे प्राणी, उद्धार हो जाए, राम सें बड़ा राम का नाम, जो सुमिरे भव पार हो जाए ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dont Worry Maiya Hai Pass Khadi

Ab to, Tum Na, Ghabrao, Maiya Ji Ke, Gun Gao । Har Sankat, Mit Jaega, Ek Bar, Milkar Gao ॥ Dont Worry, Maiya Hai, Paas Khadi X॥-॥

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥