Ramdoot Mahavir Hanuman Sweekaro (रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो: भजन)


Pranavun Pavankumaar,
Khal Ban Paavak Gyan Ghan,
Jasu Hriday Aagar,
Basahin Ram Sar Chaap Dhar ।
Ramdoot Mahavir Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Charnon Mein Baithe Hai Tumhare,
Archan Vandan Karte Hain,
Akshat Chandan Dhoop Deep Se,
Hum Abhinandan Karte Hain,
Avagun Mere Na Dhariyo Dhyan,
Avagun Mere Na Dhariyo Dhyan,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Lobh Moh Mad Kaam Ke Danav,
Man Mein Chhup Ke Baithe Hain,
Prabhu Bhi Bhakti Na Hone Dete,
Man Ko Chanchal Karte Hain,
Raksha Karo Inse Hanuman,
Raksha Karo Inse Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥

Asht Siddhi Nav Nidhi Ke Data,
Sada Sahai Ho Dukhiyon Ke,
Ram Se Nata Bana Jo Sabka,
Bhagya Jaga Do Prabhu Bhakton Ke,
Bhakti Ki Jyoti Jale Aviram,
Bhakti Ki Jyoti Jale Aviram,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Swikaro Mere Koti Pranam ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Ramdoot Mahavir Hanuman,
Swikaro Mere Koti Pranam,
Aas Lagi Tori Kirpa Nidhan,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।
Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ।

Jai Bajrang Bali Hanuman,
Daya Karo Prabhu Daya Nidhan ॥
रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रामदूत महावीर हनुमान, स्वीकारो मेरे कोटि प्रणाम, आस लगी तोरी किरपा निधान,..
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jayanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanHari Om Sharan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Guru Meri Puja Guru Mera Parbrahma

Guru Meri Puja Guru Gobind, Guru Mera Parabrahm, Guru Bhagwant

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..