Riddhi Siddhi Ke Sang Mein Hey Gauri Laal Padharo (रिद्धि सिद्धि के संग में, हे गौरी लाल पधारो: भजन)


Riddhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo,
Sab Badha Vighan Mita Kar,
Sab Badha Vighan Mita Kar,
Mere Karaj Sabhi Sanvaro,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥
Bina Tumhare Shiv Nandan Hai,
Mere Kaj Adhure,
Tum Aao To Ganapati Mere,
Kaam Sabhi Ho Pure,
Ek Baar Daya Drishti Se,
Ek Baar Daya Drishti Se,
Humko Ganaraj Niharo,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥

Seva Bhakti Nahi Hum Jane,
Kese Tumhai Manaye,
Toote Phoote Bolo Se,
Gungaan Tumhare Gaye,
Nadan ‘Amar’ Ke Bappa,
Nadan ‘Amar’ Ke Bappa,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥

Jahan Charan Tumhare Padte,
Vahan Sabhi Dev Aa Jaye,
Isliye Ganapati Bappa,
Hum Pehele Tumhai Bulaya,
Parivar Sahit Prabhu Aao,
Meri Binti Ko Swikaro,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥

Phal Phool Mewa Aur Modak,
Main Arpan Karun Vidhata,
Aangan Mein Khushiyaan Barase,
Tum Daya Karo Jab Data,
Prabhu Rakh Lo Baat Hamari,
Prabhu Rakh Lo Baat Hamari,
Sankat Se Hume Ubaro,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥

Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo,
Sab Badha Vighan Mita Kar,
Sab Badha Vighan Mita Kar,
Mere Karaj Sabhi Sanvaro,
Ridhi Siddhi Ke Sang Mein,
Hey Gauri Laal Padharo ॥
रिद्धि सिद्धि के संग में, हे गौरी लाल पधारो: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रिद्धि सिद्धि के संग में, हे गौरी लाल पधारो, सब बाधा विघन मिटा कर, सब बाधा विघन मिटा कर, मेरे कारज सभी संवारो, रिद्धि सिद्धी के संग में, हे गौरी लाल पधारो ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Tere Dar Di Paudiyan Maa

Is Baar Navrate Maan, Tere Dar Te Manavange, Teri Dar Di Paudiyan Maa Aisi Chumde Aavange...