Saanjh Savere Nain Bicha Ke Rah Taku Raghunandan Ki (सांझ सवेरे नैन बिछा के, राह तकु रघुनन्दन की: भजन)


Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki,
Ram Ayenge Jag Jayegi,
Ram Ayenge Jag Jayegi,
Kismat Mere Aangan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥
Mujh Dinan Ke Karmo Par Kab,
Raghav Karam Kamayenge,
Lagta Hai Rukne Wali Hai,
Lagta Hai Rukne Wali Hai,
Lagi Jhadi Jo Asuvan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥

Ajmayenge Ram Ji Kabtak,
Sabar Bhala Mujh Shabari Ka,
Ho Jaungi Dhanya Lagakar,
Ho Jaungi Dhanya Lagakar,
Mathe Dhooli Charnan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥

Nirdhan Ki Kutiya Ka Kan Kan,
Paavan Mandir Sa Hoga,
Charan Padenge Raghuvar Ke Jab,
Charan Padenge Raghuvar Ke Jab,
Ho Jayegi Kanchan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥

Raghuvar Khatir Chun Chunkar Main,
Ber Laungi Van Van Se,
Kab Aaye Kab Bhog Lagaye,
Kab Aaye Kab Bhog Lagaye,
Ho Poori Ichchha Man Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥

Kab Nirkhenge Shyamal Chhavi Ko,
Taras Rahe ‘lakkha’ Ke Nayan,
Kat Jaye Chaurasi Meri,
Kat Jaye Chaurasi Meri,
Janam Janam Ke Bandhan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥

Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki,
Ram Ayenge Jag Jayegi,
Ram Ayenge Jag Jayegi,
Kismat Mere Aangan Ki,
Saanjh Savere Nain Bichha Ke,
Rah Taku Raghunandan Ki ॥
सांझ सवेरे नैन बिछा के, राह तकु रघुनन्दन की: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सांझ सवेरे नैन बिछा के, राह तकु रघुनन्दन की, राम आएँगे जग जाएगी, राम आएँगे जग जाएगी, किस्मत मेरे आँगन की, साँझ सवेरे नैन बिछा के, राह तकु रघुनन्दन की ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥