Sara Barsana Tera Deewana Hua (सारा बरसाना तेरा दीवाना हुआ: भजन)


Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Deewana Hua,
Mili Tumse Najar,
Meri Jab Saanware,
Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥
Har Kisi Ko Teri Yahan Darkar Hai,
Mante Hai Sabhi Shyam Sarkar Hai,
Ab Kisi Se Koi Shyam Shikava Nahin,
Samne Phir Tumhara Jo Aana Hua,
Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Diwana Hua ॥

Hum Jeete the Mar Mar Ke O Sanware,
Dar Pe Aake Tere Hum Hue Banware,
Dukhde Kitne Hai Sahne Bata De Mujhe,
Sukh Dekhe Mohan Ik Jamana Hua,
Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Deewana Hua ॥

Chahe Kaali Ghata Ho Ya Lakhon Toofan,
Tumko Aana Padega Kanhaiya Yahaan,
Tere Charanon Mein Aai Murli Wale Mere,
Aaj Tak Na Humara Thikaana Hua,
Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Deewana Hua ॥

Gir Na Jaoon Teri in Kathin Raaho Mein,
Paas Aaja Mere Thaam Le Baanho Mein,
Ab 'surendra’ Ko Apna Bana Sanware,
Bairi Dushman Ye Sara Zamana Hua,
Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Deewana Hua ॥

Teri Murli Ki Dhun,
Humne Jabse Suni,
Sara Barsana Tera Deewana Hua,
Mili Tumse Nazar,
Meri Jab Sanware,
Ye Dil Bhi Humara Begana Hua ॥
सारा बरसाना तेरा दीवाना हुआ: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरी मुरली की धुन, हमने जबसे सुनी, सारा बरसाना तेरा दीवाना हुआ, मिली तुमसे नजर, मेरी जब सांवरे, ये दिल भी हमारा बेगाना हुआ ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanMurliwale BhajanMurlidhar BhajanKhatu Maharaj Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Raghupati Raghav Raja Ram

Raghupati Raghava RajaRam, Patita Paavana SitaRam ॥ Sunder Vigraha MeghaShyam, Ganga Tulsi Shalagram ॥

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Maa Tere Lal Bulaye Aaja

Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja, Maan Tere Lal Bulaye Aaja, Sunle Bhakto Ki Sadaye Aaja ॥