Shankar Chaura Re (शंकर चौड़ा रे - भजन)


Shankar Chauda Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥
Mathe Unke Bindiya Sohe,
Tikli Ki Balihari Ram,
Sindoor Laga Rahi Re,
Maang Mein Sindoor Laga Rahi Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Kaan Mein Unke Kundal Sohe,
Nathni Ki Balihari Ram,
Harva Pahan Rahi Hai,
Gale Mein Harva Pahan Rahi Hai,
Singar Mai Kar Rahi Solah Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Hathon Unke Kangna Sohe,
Chudi Ki Balihari Ram,
Mundri Pahan Rahi Re,
Hath Mein Mundri Pahan Rahi Re,
Singar Mai Kar Rahi Solah Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Kamar Unke Kardhan Sohe,
Jhoolon Ki Balihari Ram,
Kuch Na Pahan Rahi Re,
Kamar Main Kuch Na Pahan Rahi Re,
Singar Maai Kar Rahi Shola Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Paanv Main Unke Payal Sohe,
Bichhiya Ki Balihari Ram,
Mahavar Laga Rahi Re,
Paanv Mein Mahavar Laga Rahi Re,
Singar Maai Kar Rahi Shola Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Ang Mein Unke Chola Sohe,
Ghagra Ki Balihari Ram,
Chunri Odh Rahi Re,
Laal Rang Chunari Odh Rahi Re,
Singar Maai Kar Rahi Shola Re,
Shankar Chaura Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥

Shankar Chauda Re,
Mahamai Kar Rahi Solah Re,
Singar Maai Kar Rahi Solah Re ॥
शंकर चौड़ा रे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शंकर चौड़ा रे, महामाई कर रही सोला रे, सिंगार माई कर रही सोला रे ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..