Shankar Mera Pyara.. Maa Ri Maa Mujhe Murat La De (शंकर मेरा प्यारा.. माँ री माँ मुझे मूरत ला दे - भजन)


Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Vo Damaroo Wala,
Tan Pe Pahane Mrag Ki Chala ।
Raat Mere Sapano Mein Aaya,
Aa Ke Mujh Ko Gale Lagaya ।
Gale Laga Kar Mujh Se Bola,
Main Hoon Tera Rakhawala ॥

Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।

Maa Ri Maa Vo Mera Swami,
Main Uske Pat Ki Anugami ।
Wo Mera Hai Taran Haara,
Us Se Mera Jag Ujiyara ।
Hai Prabhu Mera Antaryami,
Sab Ka Hai Vo Rakhawala ॥

Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।
Maa Ri Maa Mujhe Murat La De,
Shiv Shankar Ki Murat La De ।
Murat Esi Jis Ke Sar Se,
Nikale Ganga Dhara ॥
Shankar Mera Pyara,
Shankar Mera Pyara ।

शिव चालीसा | लिङ्गाष्टकम् | शिव आरती | शिव भजन | शिव पंचाक्षर स्तोत्र | द्वादश ज्योतिर्लिंग मंत्र
शंकर मेरा प्यारा.. माँ री माँ मुझे मूरत ला दे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
शंकर मेरा प्यारा । माँ री माँ मुझे मूरत ला दे, शिव शंकर की मूरत ला दे..
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi BhajanAnuradha Paudwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Nam Ke Heere Moti

Ram Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali । Krishn Nam Ke Heere Moti, Main Bikhraun Gali Gali ।

Ayodhya Wasi Ram

Ayodhyawasi Ram, Dasharath Nandan Ram, Janaki Jeevan Ram

Ram Bhajan - Jag Gayi, Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Ram Ji Ka Aagman Ayodhya Saari Saj Gayi, Jag Gayi Jag Gayi, Ram Jyoti Jag Gayi

Kanha Teri Kabse Baat Niharun

Kanha Teri Kabse, Baat Niharun, Baat Niharu Tujhe, Pal Pal Pukarun ॥ Bandh Li Kanha Tose

Ram Raj Fir Se Aayil Ba

Ram Mandir Mein Ayile,Ram Raaj Ab Phir Se Aail Ba, Kab Se Lagal Aas Purail, Sab Jan Ke Manava Harasail