Sherawali Ka Sacha Darbar Hai (शेरावाली का सच्चा दरबार है: भजन)


Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai,
Sachcha Darabar Hai, Bharate Bhandar Hai,
Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai ॥
Parvat Ke Ek Gupha Ke Andar,
Maiya Ka Hai Pyara Mandir,
Maiya Ka Hai Pyara Mandir,
Sinh Sawari Kar Ke Bethi,
Lagti Maiya Kitni Sundar,
Lagti Maiya Kitni Sundar,
Darshan karne Ko Aata Sansar,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai,
Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai ॥

Teen Lok Ki Hai Maharani,
Ye Jagdamba Ye Hi Bhawani,
Ye Jagdamba Ye Hi Bhawani,
Bigdi Banane Wali Maa Hai,
Badi Dayalu Badi Hai Daani,
Maanchaha Deti Sabko Uphar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai,
Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai ॥

Maiya Ke Dar Pe Jo Aaye,
Charnon Mein Jo Shish Jhukaye,
Jay Maata Di Bol Bol Ke,
‘Sonu’ Jo Jayakare Lagaye,
‘Sonu’ Jo Jayakare Lagaye,
Unka To Ho Jata Beda Paar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai,
Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai ॥

Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai,
Sachcha Darabar Hai, Bharate Bhandar Hai,
Sherawali Ka Sacha Darbar Hai,
Yahan Pe bharate bhakto ke bhandar Hai ॥
शेरावाली का सच्चा दरबार है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
शेरावाली का सच्चा दरबार है, यहाँ पे भरते भक्तो के भंडार है, सच्चा दरबार है, भरते भंडार है, शेरावाली का सच्चा दरबार हैं, यहाँ पे भरते भक्तो के भंडार है ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Tere Dar Di Paudiyan Maa

Is Baar Navrate Maan, Tere Dar Te Manavange, Teri Dar Di Paudiyan Maa Aisi Chumde Aavange...