Shiv Parvati Ne Tumhe Vardan De Diya (शिव पार्वती ने तुम्हे, वरदान दे दिया: भजन)


Shiv Parvati Ne Tumhe,
Vardan De Diya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥
Bramha Ne Ved,
Saraswati Gyan De Rahi,
Vishnu Ke Sang Lakshmi,
Dhan Dhaan De Rahi,
Prathmesh Tum Bano,
Ye Abhaydaan De Diya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥

Kailash Pe Tumhari,
Jai Jaikar Kar Rahe,
Hey Gajanand Tumko,
Namaskar Kar Rahe,
Sabne Tumhare Charnon Mein,
Pranam Kar Liya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥

Tum Ashtavinayak,
Tumhi Buddhi Ke Pradata,
Sab Sukh Pradan Karte,
Riddhi Siddhi Ke Daata,
Bhakto Ki Jholiyon Mein,
Dhan Dhaan Bhar Diya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥

Kalayug Mein Bhav Se Paar,
Chaaho Bhakto Jo Jaana,
Gauri Gajananan Ko Sada,
Man Se Hi Dhyaana,
Bhakto Ke Man Mein Tumne,
Apna Sthaan Kar Diya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥

Shiv Parvati Ne Tumhe,
Vardan De Diya,
Shri Ganesh Ye Kalyug,
Tumhare Naam Kar Diya ॥
शिव पार्वती ने तुम्हे, वरदान दे दिया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
कलयुग में भव से पार, चाहो भक्तो जो जाना, गौरी गजाननन को सदा, मन से ही ध्याना, भक्तो के मन में तुमने, अपना स्थान कर दिया, श्री गणेश ये कलयुग, तुम्हारे नाम कर दिया ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..