Shree Ram Ayodhya Aaye Hain (श्री राम अयोध्या आए हैं: भजन)


Aaj Avadh Mein Utsav Bhari,
Ghee Ke Deep Jalaye Hain,
Cham Cham Nache Bajrangi,
Shree Ram Ayodhya Aaye Hain ॥
Din Dayal Daya Ke Sagar Sabko Gale Lagate Hain,
Jisapar Tera Naam Likha Wo Patthar Bhi Tar Jate Hain,
Chhod Ke Jhuthi Duniya Sari,
Sharan Tumhari Aaye Hain,
Cham Cham Nache ॥

Kab Se Shabari Baat Nihare Aaj Ghadi Wo Aae Hai,
Pakar Sammukh Apane Ram Ko Maan Hi Maan Harshai Hai,
Tere Milan Ke Khaatir Hi,
Thode Se Sans Bachaye Hain,
Cham Cham Nache ॥

Asuvan Jal Se Charan Pakharunga Main Mere Ram Ke,
Janm Saphal Ho Jaye Darshan Pakar Pavan Dham Ke,
“Paal” Vishal Saji Hai Jhanki,
Phoolon Se Mahakae Hain,
Cham Cham Nache ॥
श्री राम अयोध्या आए हैं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आज अवध में उत्सव भारी, घी के दीप जलाए हैं, छम छम नाचे बजरंगी, श्री राम अयोध्या आए हैं ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRam Sita Vivah BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanInstrumental BhajanRahul Pandit Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne

Racha Hai Srishti Ko Jis Prabhu Ne, Wahi Ye Srishti Chala Rahe Hai, Jo Ped Humne Lagaya Pahale...

Ram Ko Dekh Ke Janak Nandini

Ram Ko Dekh Kar Ke Janak Nandini, Bag Mein Vo Khadi Ki Khadee Rah Gayi...

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Maiya Odh Chunariyan Lal Ke Bethi Kar Solha Shingar

Maiya Odh Chunariya Laal, Ke Baithi Kar Solah Shringar, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage, Badi Pyari Laage, Badi Soni Laage ॥

Sun Meri Maat Meri Baat

Sun Meri Maat Meri Baat, Chhani Koni Tere Se, Aankhdali Churake Maiya, Jaasi Kathe Mere Se ॥