Sita Ke Ram The Rakhwale Jab Haran Hua Tab Koi Nahi (सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं: भजन)


Sita Ke Ram The Rakhwale,
Jab Haran Hua Tab Koi Nahin ॥
Dropadi Ke Pancho Pandav The,
Jab Chir Haran Tab Koi Nahi,
Dashrath Ke Char Dulare The,
Jab Pran Taje Tab Koi Nahin ॥

Ravan Bhi Bade ShaktiSali The,
Jab Lanka Jali Tab Koi Nahi,
Sri Krishan Sudarshan Dhari The,
Jab Tir Chuva Tab Koi Nahin ॥

Lakshman Ji Bhi Bhari Yoddha The,
Jab Shakti Lagi Tab Koi Nahin,
Sar Shayya Pe Pade Pitaamah The,
Pida Ka Sanjhi Koi Nahin ॥

Abhimanyu Raj Dulare The,
Par Chakravyuh Mein Koi Nahin,
Sach Hai ‘Devendr’ Duniya Wale,
Sansar Mein Apna Koi Nahin ॥

Sita Ke Ram The Rakhwale,
Jab Haran Hua Tab Koi Nahin ॥
सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सीता के राम थे रखवाले, जब हरण हुआ तब कोई नहीं ॥ द्रोपदी के पांचो पांडव थे, जब चीर हरण तब कोई नहीं, दशरथ के चार दुलारे थे, जब प्राण तजे कब कोई नहीं ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanPrem Bhushan Ji Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Pyaro Vrindavan

Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayama hriday kamal so pragtyo, Shayam haday ku bhaye, Vrindavan pyaro vrindavan...

Ik Din Vo Bhole Bhandari Banke Braj Ki Nari

Ik Din Vo Bhole Bhandari, Ban Karake Braj Ki Naari, Braj Mein Aa Gae | Ek Din Woh Bhole Bhandari Bhajan Lyrics in Hindi And English

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja

Shiv Shankar Ko Jisne Pooja, Uska Hi Uddhar Hua । Ant Kaal Ko Bhavasagar Mein, Uska Beda Paar Hua

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath

Hey Shambhu Baba Mere Bhole Nath, Teeno Lok Mein Tu Hi Tu । Shraddha Suman Mera, Man Belapatri...

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Me Bhakto

Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto, Har Har Har Mahadev Kee Jay Ho ।