Sunlo Baba Bajrangi Main Kaise Tujhe Rijhaun (सुनलो बाबा बजरंगी, मैं कैसे तुझे रिझाऊं: भजन)


Sunlo Baba Bajrangi,
Main Kese Tujhe Rijhaun,
Charanon Mein Mujhe Bitha Lo,
Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥
Is Jag Mein Bhatak Raha Hun,
Main Dar Dar Mara Mara,
Phir Tere Dar Par Aakar,
Mujhko Hai Mila Sahara,
Upakar Kiye Tum Itne,
Main Kese Tujhe Ginaun,
Charanon Mein Mujhe Bitha Lo,
Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥

Koi Khir Churma Lave,
Koi Sawa Mani Karwave,
Koi Chhapan Bhog Lagakar,
Mere Baba Tujhe Rijhave,
Main To Nirdhan Hun Baba,
Do Anshun Hi Bhet Chadhaun,
Charanon Mein Mujhe Bitha Lo,
Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥

Ho Shankat Mochan Tum Hi,
Shankat Se Mujhe Ubaro,
Aaye Dar Din Dukhi Ko,
Bhav Sagar Se Tum Taro,
‘Deepak’ Darabaar Mein Tere,
Aakar Ke Prabhu Jagaun,
Charanon Mein Mujhe Bitha Lo,
Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥

Sunlo Baba Bajrangi,
Main Kese Tujhe Rijhaun,
Charanon Mein Mujhe Bitha Lo,
Main Tumse Itna Chahun,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram,
Ram Siyaram Siyaram Siyaram ॥
सुनलो बाबा बजरंगी, मैं कैसे तुझे रिझाऊं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुनलो बाबा बजरंगी, मैं कैसे तुझे रिझाऊं, चरणों में मुझे बिठा लो, मैं तुमसे इतना चाहूँ, राम सियाराम सियाराम सियाराम, राम सियाराम सियाराम सियाराम ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara

Aa Maa Aa Tujhe Dil Ne Pukara । Dil Ne Pukara Tu Hai Mera Sahara Maa | Sheranwali, Jotanwali, Mehraanwali Maa

Bhajan: Man Leke Aaya Mata Rani Ke Bhawan Me

Man Leke Aaya, Mata Rani Ke Bhawan Main, Bada Sukh Paya, Bada Sukh Paya, Mata Rani Ke Bhawan Main