Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu (तेरे चरणों में सर को, झुकाता रहूं: भजन)


Tere Charanon Main Sar Ko,
Jhukata Rahun,
Tu Bulata Rahe,
Aur Main Aata Rahun ॥
Mainne Bachpan Se,
Tujhko Hi Jana Hai,
Tera Mera Ye,
Rista Purana Hai,
Tujhe Dil Ki,
Hakikat Sunata Rahun,
Tu Bulata Rahe,
Aur Main Aata Rahun ॥

Tune Apna Banaya,
Ye Ehsaan Hai,
Teri Kirapa Se Hi,
Meri Pehchan Hai,
Tere Bhakto Se,
Prem Badhata Rahun,
Tu Bulata Rahe,
Aur Main Aata Rahun ॥

‘Binnu’ Kahata Hai,
Prabhu Dhanyavad Tujhe,
Tum Bulaaya Karo,
Shyam Dar Pe Mujhe,
Yun Hi Tere Tarane,
Main Gata Rahun,
Tu Bulata Rahe,
Aur Main Aata Rahun ॥

Tere Charanon Main Sar Ko,
Jhukata Rahun,
Tu Bulata Rahe,
Aur Main Aata Rahun ॥
तेरे चरणों में सर को, झुकाता रहूं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे चरणों में सर को, झुकाता रहूं, तू बुलाता रहे, और मैं आता रहूं ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Dont Worry Maiya Hai Pass Khadi

Ab to, Tum Na, Ghabrao, Maiya Ji Ke, Gun Gao । Har Sankat, Mit Jaega, Ek Bar, Milkar Gao ॥ Dont Worry, Maiya Hai, Paas Khadi X॥-॥

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥