Tere Pujan Ko Hanuman Bana Tab Mehandipur Ka Dham (तेरे पूजन को हनुमान, बना तब मेहंदीपुर का धाम - भजन)


Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥
Jag Mein Prabal Tumhari Maya,
Nahin Koi Bhed Tumhara Paya,
Kar Nit Bhakti Prem Se dDhyaan,
Bana Tab Mehandipur Ka Dhaam,
Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥

Tu Hi Jag Ka Kasht Nashave,
Tu Hi Adbhut Khel Rachave,
Hi Tu Vyaapak Sakal Jahaan,
Bana Tab Mehandipur Ka Dhaam,
Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥

Bhutadik Amit Ughaare,
Nit Aganit Charitr Tumhare,
Unhen Main Karun Kahaan Tak Gaan,
Bana Tab Mehandipur Ka Dhaam,
Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥

Sare Jag Ka Duhkh Har Lije,
Tab Bhakti Charanon Ki Dije,
Kar Daya Din Jan Jaan,
Bana Tab Mehandipur Ka Dhaam,
Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥

Tum Bin Jag Mein Naath Hamara,
Dikhat Nahin Koi Sahara,
Yah Vinay Kare Kalyaan,
Bana Tab Mehandipur Ka Dhaam,
Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥

Tere Pujan Ko Hanuman,
Bana Tab Mehendipur Ka Dham ॥
तेरे पूजन को हनुमान, बना तब मेहंदीपुर का धाम - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे पूजन को हनुमान, बना तब मेहंदीपुर का धाम ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥