Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai (तेरी ज्योति में वो जादू है: भजन)


Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai,
Jagmag Jalti Jab Jyot Teri,
Andhakara Mita Deti Hai,
Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai ॥
Teri Jyoti Hai Maa Bhawani,
Isse Duniya Hai Maa Roshan,
Lage Sabko Hi Maan Bhawan,
Maiya Saare Hi Andhere Mitati,
Jahan Pe Jyot Jalti Hai,
Waha Pe Khusiyan Milti Hai,
Sabki Bhakti Palti Hai,
Bigde Kaam Banati Sare,
Khusoyon Ka Sawera Jivan Mein,
Teri Jyot Kara Deti Hai,
Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai ॥

Teri Jyot Nirali Hai,
Khusiyan Dene Wali Hai,
Daman Bharne Wali Hai,
Maiya pal Mein Kamal Dikhaye,
Devta Git Tere Gaye,
Jagti Chokhat Pe Aaye,
Teri Kirpa Maa Gaye,
Tu Hi Sabko Nihal Karaye,
Khali Daman Hum Bhakto Ka,
Teri Jyot Bhara Deti Hai,
Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai ॥

Tera ‘Harsh’ Bhi Ye chahe,
Tere Dar Pe Wo Aaye,
Teri Kirpa Maa Paye,
Tere Charnon Mein Jhuk Jaun,
Teri Jyot Jala Ke Maa,
Teri Raat Jaga Ke Maa,
Teri Mahima Gaake Maa,
Main Bhi Jivan Dhany Banaun,
Mujh Jaise Bhatake Ko Rasta,
Teri Jyot Dikha Deti Hai,
Teri Jyot Dikha Deti Hai,
Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai ॥

Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai,
Jagmag Jalti Jab Jyot Teri,
Andhakara Mita Deti Hai,
Teri Jyoti Me Wo Jadu Hai,
Taqdir Bana Deti Hai ॥
तेरी ज्योति में वो जादू है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरी ज्योति में वो जादू है, तक़दीर बना देती है, जगमग जलती जब ज्योत तेरी, अंधकार मिटा देती है, तेरी ज्योति में वो जादू है, तक़दीर बना देती है ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na karai: Ganga Mahatmy

Maa Ganga Maiya Ka Garimamay Mahatmya ॥ Bed Ki Aushad Khai Kachhu Na Karai Bahu Sanjam Ri Suni Mosen ।..

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon

Kare Hahakar, Nihshabd Sada O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Chalo Man Ganga Yamuna Teer

Ganga Jamuna Nirmal Paani, Sheetal Hot Sharir, Chalo Man Ganga Jamuna Teer...

Ganga Ke Kinare Chale Jana

mitadi Hai Moorat, Jindi Ye Vani Hai, ganga Kinare Chale Jana, mudke Phir Nahin Aana

Shiv Ki Jata Se Barse Ganga Ki Dhar Hai

Shiv Ki Jata Se Barase, Ganga Ki Dhar Hai, Ganga Ki Dhar hai, Mahina Ye Sawan Ka Hai,
Chae Bahar Hai ॥