Teri Pooja Mein Man Leen Rahe (तेरी पूजा मे मन लीन रहे: भजन)


Teri Pooja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera,
Meet Jaye Janmon Ki Trishna,
Shri Ram Mile Jo Pyaar Tera ॥
Tujhme Khokar Jeena Hai Mujhe,
Mai Boond Hoon Tu Ik Sagar Hai,
Tujh Bin Jeevan Ka Arth Hai Kya,
Mai Tara Hoon Tu Ambar Hai,
Tune Mujhko Sweekar Kiya,
Kya Kam Hai Ye Upkaar Tera,
Teri Puja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera ॥

Yoon Mujhko Tera Pyaar Mila,
Bejan Ko Jese Jaan Mili,
Jis Din Se Tujhko Jaana Hai,
Mujhko Meri Pehchan Mili,
Dedi Tune Charanon Mein Jagah,
Kya Kam Hai Ye Upkaar Tera,
Teri Pooja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera ॥

Teri Pooja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera,
Meet Jaaye Janmon Ki Trishna,
Shri Ram Mile Jo Pyaar Tera ॥
तेरी पूजा मे मन लीन रहे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरी पूजा मे मन लीन रहे, मेरा मस्तक हो और द्वार तेरा, मीट जाये जन्मों की तृष्णा, श्री राम मिले जो प्यार तेरा ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..