Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri (तेरो लाल यशोदा छल गयो री - भजन)


Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri,
Mero Makhan Churakar Badal Gayo Ri ॥
Mainne Chori Se Ise Matki Uthate Dekha,
Aap Khate Hue Auro Ko Khilate Dekha,
Naachkar Ghoomkar Kuchh Neeche Giraate Dekha,
Maal Chori Ka Ise Khoob Lutate Dekha,
Maal Chori Ka Ise Khoob Lutate Dekha,
Mere Munh Par Bhi Maakhan Mal Gayo Ri,
Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri ॥

Hath Aata Hi Nahin Door Door Rahata Hai,
Chor Hai Chor Ye Chori Mein Choor Rahata Hai,
Chori Kar Ke Bhi Sada Beksoor Rahata Hai,
Sar Pe Shaitani Ka Iske Phitoor Rahata Hai,
Sar Pe Shaitani Ka Iske Phitoor Rahata Hai,
Mere Makhan Ki Matki Udal Gayo Ri,
Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri ॥

Haskar Mangta Hai Aur Kabhi Rota Hai,
Apne Hatho Se Dahi Aap Hi Bilota Hai,
Ye Din Pe Din Bhala Kyon Itna Hati Hota Hai,
Na Do to Dhul Mein Hi Lautata Aur Sota Hai,
Na Do to Dhul Mein Hi Lautata Aur Sota Hai,
Mero Aanchal Pakadkar Machal Gayo Ri,
Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri ॥

Ise Samjha De Yashoda Ye Tera Beta Hai,
Chor Gwalo Ka Ek Ye Hi Chor Neta Hai,
Maar Padti Hai Inhe Aur Ye Maja Leta Hai,
Iske Badle Mein Jara Banshi Baja Deta Hai,
Iske Badle Mein Jara Banshi Baja Deta Hai,
‘jaya’ ‘moti’ Kanha Ki Sharan Gayo Ri,
Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri ॥

Tero Laal Yashoda Chhal Gayo Ri,
Mero Makhan Churakar Badal Gayo Ri ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
तेरो लाल यशोदा छल गयो री - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरो लाल यशोदा छल गयो री, मेरो माखन चुराकर बदल गयो री ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanYashoda Laal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Prabhu Sweekaro Mere Paranam

Sukh-varan Prabhu, Narayan Hai! Sweekaro Mere Pranaam

Dekh Liya Sansar Hamne Dekh Liya

Dekh Liya Sansar Humne Dekh Liya, Sab Matlab Ke Yaar Humne Dekh Liya |

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari

Kab Darshan Denge Ram Param Hitkari Kab Darshan Denge Ram Din Hitkari, Rasta Dekhat Shabari Ki Umr Gayi Sari

Ek Bar Jo Raghubar Ki Nazron Ka

Ek Baar Jo Raghubar Ki, Najro Ka Ishara Ho Jaye, Teri Lagan Mein Kho Jaoon Main, Duniya Se Kinara Ho Jaye ॥

Mere Ram Itni Kripa Karna Beete Jeevan Tere Charno Me

Mere Ram Itni Kirpa Karna, Beete Jeevan Tere Charnon Mein ॥