Tu Bulata Rahe Aur Mein Aata Rahun (तू बुलाता रहे और मैं आता रहूं: भजन)


Tere Darbar Ko Yoon Sajata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥
Baith Tasveer Teri Ke Main Samne,
Main Rijhaun Tujhe,
Kuchh Teri Sunu Kuchh Apne Bhi,
Dil Ki Sunaoon Tujhe,
Haal E Dil Ke Zakhm,
Main Dikhata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥

Ek Tu Hi to Hai Jo Sab Janta,
Kya Hai Dil Mein Mere,
Door Tune Kiya to Main Ji Na Sakunga,
Ek Pal Bhi Tere,
Zindagi Tere Dar Pe,
Bitata Rahoon,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥

Tera Mera Ye Rishta Sada Sanware,
Yun Hi Chalta Rahe,
‘radhe’ Ko Pyar Tera Sada Sanware,
Yun Hi Milta Rahe,
Tujhko Bhajno Se,
Apne Rijhata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥

Tere Darbar Ko Yun Sajata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun,
Tu Bulata Rahe Aur Main Aata Rahun ॥
तू बुलाता रहे और मैं आता रहूं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे दरबार को यूँ सजाता रहूं, तू बुलाता रहे और मैं आता रहूं, तू बुलाता रहे और मैं आता रहूँ ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shiv Shankar Tumhari Jatao Se Ganga Ki Dhara Behti Hai

Shiv Shankar Tumhari Jatao Se, Ganga Ki Dhara Bahati Hai, Sari Srishti Isliye Tumhe, Ganga Dhari Shiv Kahati Hai, Shiv Shankar Tumari Jatao Se, Ganga Ki Dhara Bahati Hai ॥

Oh Vish Pine Wale Chupa Tu Kidhar Hai

Mere Jindegi Mein Gamon Ka Jahar Hai, Vish Pine Wale Chupa Tu Kidhar Hai, Oh Vish Pine Wale Chupa Tu Kidhar Hai ॥