Visarjan Ko Chali Re Chali Mori Maiya (विसर्जन को चलीं रे, चली रे मोरी मैया: भजन)


Visarjan Ko Chali Re,
Chali Re Mori Maiya,
Vidai Se Aaj Mori,
Vidai Se Aaj Mori,
Bhar Aai Hai Akhiyan,
Visarjan Ko Chaleen Re,
Chali Re Mori Maiya ॥
Nau Din Mai Teri Seva Mein Beete,
Ab Kaise Virha Ki Ye Rain Beete,
Nau Din Mai Teri Seva Mein Beete,
Tujh Bin Lagegi Mai,
Suni Suni Galiyan,
Visarjan Ko Chaleen Re,
Chali Re Mori Maiya ॥

Aaj Chali Re Dham Bhawani,
Suna Karke Aaj Bhawani,
Aaj Chali Re Dham Bhawani,
Jaye Sahi Na Mai,
Virha Ki Ghadiyan,
Visarjan Ko Chaleen Re,
Chali Re Mori Maiya ॥

Ro Ro Kar Karte Hai Vidai,
Agle Baras Phir Aana Hai Mai,
Ro Ro Kar Karte Hai Vidai,
Tujhse Bichhad Ke Maiya,
Ban Na Jaoon Main Joganiya,
Visarjan Ko Chaleen Re,
Chali Re Mori Maiya ॥

Visarjan Ko Chali Re,
Chali Re Mori Maiya,
Vidai Se Aaj Mori,
Vidai Se Aaj Mori,
Bhar Aai Hai Akhiyan,
Visarjan Ko Chaleen Re,
Chali Re Mori Maiya ॥
विसर्जन को चलीं रे, चली रे मोरी मैया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
विसर्जन को चली रे, चली रे मोरी मैया, विदाई से आज मोरी, विदाई से आज मोरी, भर आई है अखियां, विसर्जन को चलीं रे, चली रे मोरी मैया ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Visarjan Ko Chali Re Chali Mori Maiya Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Shri Hanuman-Balaji Bhajan

Famous Sri Hanuman-Balaji bhajans recitation in Sundarakand, Hanuman Jayanti, Tuesday Vrat, Saturday, Budhawa Mangal..

Bhagwan Buddha Vandan

Namo Tass Bhagvato Arhato Samma Sambuddhass ।

Ujjain Ke Maharaj Ho Dino Ke Dinanath Ho

Ujjain Ke Maharaj Ho, Dino Ke Dinanath Ho, Tum Kalo Ke Kal Ho, Baba mahakal Ho ॥