Wo Ram Dhun Magan Hai Rahte (वो राम धुन में मगन है रहते: भजन)


Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai,
Wo Ram Ji Ke Charan Mein Rahate,
Prabhu Ke Karaj Bana Rahe Hai,
Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai ॥
Wo Ram Lakshman Kandhe Bithaye,
Sugriv Ke Sang Maitri Karaye,
Prabhu Mudrika Thi Mukh Mein Dali,
Wo Lanka Dhaye Sudhi Siya Laye,
Nishani Maa Ki Dijo Prabhu Ko,
Prabhu Haday Se Laga Rahe Hai,
Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai ॥

Lakhan Hai Murchhit Hai Ram Rote,
Buti Sajivan Ab Kaun Laye,
Prabhu Lagan Thi Hraday Mein Dhari,
Wo Botu Wala Parvat Le Aaye,
Wo Praan Rakshak Bane Lakhan Ke,
Haathon Se Buti Khila Rahe Hai,
Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai ॥

Nagon Ki Pash Mein Prabhuji Aaye,
Garud Ko Laye Praan Pachae,
Ahiravan Prabhu Ko Leke Bhaga,
Sanghara Papi Pataal Dhaye,
Ranga Sinduri Tan Apana Saara,
Prabhu Ka Chandan Laga Rahe Hai,
Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai ॥

Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai,
Wo Ram Ji Ke Charan Mein Rahate,
Prabhu Ke Karaj Bana Rahe Hai,
Wo Ram Dhun Main Magan Hai Rahate,
Lagan Prabhu Ki Laga Rahe Hai ॥
वो राम धुन में मगन है रहते: भजन - हिन्दी में पढ़ें
वो राम धुन में मगन है रहते, लगन प्रभु की लगा रहे है, वो राम जी के चरण में रहते, प्रभु के कारज बना रहे है, वो राम धुन में मगन हैं रहते, लगन प्रभु की लगा रहे है ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Shiv Hai Sundar Shiv Hai Pyara

Shiv Hain Sundar , Shiv Hain Pyara , Shiv Shankar Ka , Roop Nirala , Shiv Ke Mastak Par Hain Chanda , Shiv Ki Jata Se Bahati Ganga॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.