Ye Atal Bharosa Pyaare,
Khali Na Jaega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega ॥
Ek Atal Bharosa Hi Tha,
Sita Ko Prabhu Bhakti Par,
Aur Prabhu Ko Bhi Tha Bharosa,
Shree Hanuman Ki Shakti Par,
Chahe Lakh Bada Ho Sagar,
Ye Lang Jayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega ॥
Prabhu Naam Ka Sumiran Hi To,
Vibhishan Karata Aaya,
Us Sumiran Ke Bal Par Hi,
Hanuman Ko Sammukh Paya,
Har Sachche Bhakt Ka Prabhu Se,
Ye Milan Karayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega ॥
‘Yogi’ Sumiran Ki Yukti,
Tera Prabhu Se Yog Karaye,
Khud Ramayan Bhi Bhakto,
Hari Naam Mahatv Bataye,
Is Paavan Naam Sahare,
Bhav Paar Jayega
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega ॥
Ye Atal Bharosa Pyaare,
Khali Na Jaega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega,
Tu Ram Naam Ka Sumiran Kar,
Hanuman Aayega ॥