Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Ganpati Padharo Ta Ta Thaiya Karte (गणपति पधारो ताता थैया करते: भजन)


Ganpati Padharo Ta Ta Thaiya Karte
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte,
Taata Thaiya Karte,
Thumak Thumak Pag Dharte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte,
Aap Ke Padharne Se Bigde Kaam Sanwarte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥
Kevda Gulab Jal Se,
Khoob Dhoya Aangna,
Chandan Ki Chauki Upar,
Makhmal Ka Bichhona,
Parvati Lala Aakar,
Aasan Lagaiye,
Riddhi Aur Siddhi Ko Bhi,
Sang Lekar Aaiye,
Hoke Prasann Vidhn,
Aap Hi to Harte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥

Moreya Re Bappa Moreya Re ॥
Moreya Re Bappa Moreya Re ॥

Vakratund Hai Gajananan Hai,
Shiv Ke Dulare Laal,
Sheesh Pe Sundar Mukut Viraje,
Gal Motiyan Ki Maal,
Ek Dant Chaar Bhuj Hai,
Kesar Tilak Hai Dhal,
Moose Ki Sawaari,
Vesh Adbhut Hai Vishal,
Dayavan Hatho Se Tere,
Manak Moti Jharte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥

Moreya Re Bappa Moreya Re ॥
Moreya Re Bappa Moreya Re ॥

Aao Ganaraj Kahaan,
Surat Chhipa Li Hai,
Paan Pushp Meva Laye,
Laduvan Ki Thali Hai,
Bhakto Ki Vinti Prabhu,
Kabhi Nahin Taali Hai,
Kamal Saral Ne Preet,
Aapse Laga Li Hai,
Ann Dhan Ke Bhandar Ho Deva,
Lakha Ke Ho Bharte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥

Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte,
Taata Thaiya Karte,
Thumak Thumak Pag Dharte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte,
Aap Ke Padharne Se Bigde Kaam Sanwarte,
Ganapati Padharo Taata Thaiya Karte ॥

आरती गणपती की | आओ जी गजानन आओ | श्री सिद्धिविनायक तेरी आरती गाऊं | गणपती बप्पा मोरया | श्री सिद्धिविनायक नमः

गणपति पधारो ताता थैया करते: भजन हिन्दी में पढ़ें

गणपति पधारो ताता थैया करते, ताता थैया करते, ठुमक ठुमक पग धरते, गणपति पधारो ताता थैया करते, आप के पधारने से बिगड़े काम संवरते, गणपति पधारो ताता थैया करते ॥
Read Also

Bhajan Lambodar BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav Bhajan BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi BhajanVighnaharta Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,

Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali

Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali । Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।

Har Baat Ko Tum Bhulo Bhale Maa Bap Ko Mat Bhulna

Har Baat Ko Bhoolo Magar, Maan Baap Mat Bhoolana, Upakaar Inake Laakhon Hai, Is Baat Ko Mat Bhoolana

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP