Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jan Jan Ka Udhar Karegi Ram Katha (जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा - भजन)


Jan Jan Ka Udhar Karegi Ram Katha
Jan Jan Ka Uddhaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥
Ram Lakhan Priya Bharat Shatrughn,
Sang Jaanaki Anjani Nandan,
Man Mandir Darbaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Katha Jit Ki Haar Nahi Hai,
Milta Turat Udhaar Nahi Hai,
Saphal Nagad Vyapaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Dharam Karm Karuna Shraddha Se,
Nyaay Neeti Nit Maryada Se,
Ram Rajya Saakaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Ram Katha Jo Shravan Karate,
Saral Prem Se Sunane Aate,
Unko Bhav Se Paar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

Jan Jan Ka Uddhaar,
Karegi Ram Katha,
Jan Jan Ka Kalyan,
Karegi Ram Katha ॥

जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा - भजन हिन्दी में पढ़ें

जन जन का उद्धार, करेगी राम कथा, जन जन का कल्याण, करेगी राम कथा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ek Hai Baba Khatu Shyam Ek Hai Bala Ji Hanuman

Bharat Ki Is Dev Dara Ko, Jane Sab Sansar, Samay Samay Yahan Hote Rahte, Ishwar Ke Avtar, Salasar Mein Bajrang Bala, Ram Bhakt Hanuman, Madhup Krishna Hari Khatu Pragate, Ban Ke Shyam Bhagwan.

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Buha Khol Ke Maaye Zara Tak Te Le

Buha Khol Ke Maaye, Jara Tak Te Le, Tere Mandira De Vede Daati, Kaun Aaya Hai, Maan Bachchiya Da Aj Maayen, Rakh Te Le, Tetho Mangiya Murada Paan, Kaun Aaya Hai ॥

Baithi Ho Maa Samne Kar Solah Shringar

Baithi Ho Maa Samne, Kar Solah Shringar, Tu Karuna Ki Hai Murat, Aur Mamta Ka Bhandar, Baithi Ho Maa Samne, Kar Solah Shringar ॥

Main To Jhoom Jhoom Nachu Re Aaj Maiya Ghar Aayi Hai

Main to Jhoom Jhoom Naachu Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Mata Ke Gun Gaoon Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai, Main to Jhoom Jhoom Naachun Re Aaj, Aaj Maiya Ghar Aayi Hai ॥

Prano Se Bhi Pyara Dadi Dham Tumhara

Prano Se Bhi Pyara, Dadi Dham Tumhara, Darshan Kar Ho Jata, Ye Jivan Saphal Hamara, Tune Sabko Tara, Sabka Jivan Sawara, Tere Bin Koun Dadi, Hum Bhakto Ka sahara ॥

Mehrawali Maiya Aavegi

Mehrawali Maiya Aavegi, Pawan Naurate Aae Ne, Maiya Daras Dikhavegi, Pawan Naurate Aae Ne,
Maiya Daras Dikhavegi ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP