Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun (कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन)


Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun
Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ।
Dugdh-Dadhi-Jal-Shahad Se Nahalaya Karoon,
Reshmi Vastra Sundar Pahnaya Karoon ।
Tere Nayanon Mein Kajara Lagata Rahoon, Geet Gata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Kunkum-Kesar Ke Chandan Lagaoon Tujhe,
Pushpmala Main Sundar Pahnaoon Tujhe ।
Pag Mein Paijaniyaan Sundar Pahnata Rahoon Aur Nachata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Pyaar Se Sundar Vyanjan Khilaoon Tujhe,
Dugdh Mein Mishri-Kesar Pilaoon Tujhe ।
Tere Seva Mein Tan-Man Lagata Rahoon, Muskurata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Sath Mein Gaake Lori Sulaoon Tujhe,
Pyara-Sa Geet Ga Ke Jagaoon Tujhe ।
Kant Sapnon Mein Bhi Main Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha.....

कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन हिन्दी में पढ़ें

कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ और मनाता रहूँ, पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ।
Read Also

Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat Bhajan BhajanShri Vishnu BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRadha Raman Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥

Hari Tum Haro Jan Ki Bhir

Hari Tum Haro Jan Ki Bhir। Dropdi Ki Laj Rakhi, Tum Ba.Dhayo Chir...

Ud Gayi Re Nindiya Meri Bansi Shyam Ne Bajai Re

Ud Gayi Re Nindiya Meri, Bansi Shyam Ne Bajai Re, Kho Gaya Chen Mera, Saari Raat So Na Pai, Ud Gayi Re Nindiya Meri, Bansi Shyam Ne Bajai Re ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP