Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye (लाखो के दुःख लिए हर दातिए - भजन)


Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye
Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥
Bhare Huye Tere Bhandar Hai,
Uname Kami Na Kisi Baat Ki,
Har Jagah Par Har Aur Hi,
Karuna Ki Tune To Barsat Ki,
Sabpe Ho Teri,
Sabpe Ho Daya Ki Najar Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Sagar Se Ek Bund Hum Jo Piye,
Sagar Ka Kuch Na Ghate Meri Maa,
Hawa Chala Do Gar Rahamat Ki Maa,
Badal Gamo Ka Tute Meri Maa,
Jag Se Nirala,
Jag Se Nirala Tera Dar Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

लाखो के दुःख लिए हर दातिए - भजन हिन्दी में पढ़ें

लाखो के दुःख लिए हर दातिए, झोलियाँ गरीबों की भी भर दातिए, सबको दिए खुशियों के वर दातिए, सबको दिए खुशियों के वर दातिए, झोलियाँ गरीबों की भी भर दातिए ॥
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,

Bhajan: Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali

Duniya Banane Wale Mahima Teri Nirali । Chanda Banaya Sheetal Sooraj Mein Aag Dali ।

Har Baat Ko Tum Bhulo Bhale Maa Bap Ko Mat Bhulna

Har Baat Ko Bhoolo Magar, Maan Baap Mat Bhoolana, Upakaar Inake Laakhon Hai, Is Baat Ko Mat Bhoolana

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP