Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Maa Tu Hi Nazar Aaye (माँ तू ही नज़र आये: भजन)


Maa Tu Hi Nazar Aaye
Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥
Gairo Ne Thukraya Apne Bhi Badal Gaye Hai,
Hum Saath Chale Jinke Wo Dur Nikal Gaye Hai,
Tere Hi Raham Par Hun Maa Tere Hi Raham Par Hun,
Tu Bakhsh Ya Thukaraye,
Bas Tu Hi Najay Aaye,
Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

Maa Ke Main Papi Hoon Tujhe Khabar Gunaho Ki,
Bas Itani Saja Dena Mujhe Mere Khataon Ki,
Tere Dar Ho Sar Mera, Tere Dar Ho Sar Mera,
Aur Sans Nikal Aaye,
Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

Ham Khakh Nashino Ki Kya Khub Tamanna Hai,
Tere Naam Se Jena Hai Tere Naam Pe Marana Hai,
Marana To Hai Vo Teri, Marana To Hai Vo Teri,
Chokhat Pe Jo Mar Jaye,
Bas Tu Hi Najar Aaye,
Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

Suraj Aur Chanda Ka Aankhon Mein Ujaala Hai,
Mastak Mein Agni Ki Prachand Jwala Hai,
Teri Najare Karam Ho To,Maa Najare Karam Ho To,
‘Guradaas’ Bhi Tar Jae,
Bas Tu Hi Najar Aaye,
Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

Munh Pher Jidhar Dekhun Maa Tu Hi Nazar Aaye,
Maa Chod Ke Dar Tera Koi Aur Kidhar Jaye ॥

माँ तू ही नज़र आये: भजन हिन्दी में पढ़ें

मुँह फेर जिधर देखूं माँ तू ही नज़र आये, माँ छोड़ के दर तेरा कोई और किधर जाये ॥
Read Also

Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Ram Jay Ram Jay Jay Ram Dhun

Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram, Shri Ram, Jai Ram, Jai Jai Ram..

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Janaki Stuti - Bhai Pragat Kumari

Bhai Pragat Kumari Bhoomi-vidari Jan Hitkari Bhayhari । Atulit Chhabi Bhari

Sita Sita Sita Ram Gaiye

Sita Sita Sita Ram Gaiye, Chahe, Radhe Radhe Radhe Shyam Gaiye, Sita Ram Gaiye

Namami Bhakt Vatsalan

Namami Bhakt Vatsalan । Krpalu Sheel Komlan ॥ Bhajami Te Padambujan ।

Ram Japate Raho, Kam Karte Raho

Ram Japte Raho, Kam Karte Raho । Waqt Jeevan Ka, Yunhi Nikal Jayega ।

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP