गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Paar Hoga Wahi Jise Pakdoge Ram (पार होगा वही, जिसे पकड़ोगे राम - भजन)


Paar Hoga Wahi Jise Pakdoge Ram
Paar Hoga Wahi,
Jise Pakdoge Ram,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥
Tirna Kya Jane,
Patthar Bechare,
Tirne Lage Tere,
Naam Ke Sahare,
Naam Likhte Aa Gaye Hai,
Patthar Mein Pran,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega,
Paar Hoga Wahin,
Jise Pakdoge Ram,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥

Lanka Jalai,
Laangha Samundar,
Rakshas Ko Maar Aaya,
Chhota Sa Bandar,
Bas Japta Raha,
Din Raat Tera Naam,
Jisko Chhodoge,
Palabhar Mein Doob Jayega ॥

Paar Hoga Wahin,
Jise Pakdoge Ram,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥

Sunkar Ke Baate,
Muskaey Ram Ji,
Mare Khushi Ke Nache,
Hanuman Ji,
Bhakt Dekha Na,
Banwari Tere Samaan,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥

Paar Hoga Wahin,
Jise Pakdoge Ram,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥

Paar Hoga Wahi,
Jise Pakdoge Ram,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega,
Jisko Chhodoge,
Palbhar Mein Doob Jayega ॥

पार होगा वही, जिसे पकड़ोगे राम - भजन हिन्दी में पढ़ें

पार होगा वही, जिसे पकड़ोगे राम, जिसको छोड़ोगे, पलभर में डूब जाएगा ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanHanuman Janmotsav BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanMahavir BhajanAwadh Ke Ram BhajanRam Naam Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale, Ase Ganray Ko Sabka Pranam, Sarbapratham Puja Jiski Hoti,
Gan Ganpati Unka Naam ॥

Gaiye Ganpati Subaho Shaam

Gaiye Ganpati Subaho Shaam, Mangalmurti Mangalkari, Pawan kari Tero Naam, Gaiye Ganpati Subaho Shaam ॥

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP