Shri Hanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sab Main Koi Na Koi Dosh Raha (सब में कोई ना कोई दोष रहा - भजन)


Sab Main Koi Na Koi Dosh Raha
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥
Ved Shaastr Ka Mahapandit Gyani,
Ravan Tha Par Tha Abhimani,
Shiv Ka Bhakt Bhi Siya Chura Kar,
Kar Baitha Aisi Nadani,
Ram Se Hardam Rosh Raha ।
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥

Yudhishtar Dharmputr Balkari,
Usmen Aib Jue Ka Bhari,
Bhari Sabha Mein Draupadi Ki Bhi,
Cheekhen Sunkar Dharm Pujari,
Bebas Aur Khamosh Raha ।
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥

Vishwamitr Ne Tab Ki Kamai,
Menka Apsara Par Thi Lutai,
Durvasa the Maha Rshi Par,
Unmen Bhi Thi Ek Burai,
Hardam Krodh Va Josh Raha ।
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥

Sara Jag Hi Mrgatrshna Hai,
Kaun Yahan Par Dosh Bina Hai,
Nattha Sinh Mein Dosh Hajaron,
Jisne Sab Ka Dosh Gina Hai,
Phir Yah Kaha Nirdosh Raha ।
Sab Mein Koi Na Koi Dosh Raha ।
Ek Vidhata Bas Nirdosh Raha ॥

सब में कोई ना कोई दोष रहा - भजन हिन्दी में पढ़ें

सब में कोई ना कोई दोष रहा, एक विधाता बस निर्दोष रहा, वेद शास्त्र का महापंडित ज्ञानी..
Read Also

Bhajan Prabhu BhajanVedic BhajanVed BhajanSchool BhajanCollage BhajanArya Samaj BhajanInspirational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanDivya Chaturvedi BhajanVyas Ji Maurya Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Ram Na Milege Hanuman Ke Bina

Paar Na Lagoge Shri Ram Ke Bina, Ram Na Milege Hanuman Ke Bina। Ram Na Milenge..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Bajrang Bali Ne Asa Bajaya Danka

Bajrang Bali Ne Asa Bajaya Danka, Jala Dali Sari Sone Ki Lanka, Dhu Dhu Jalti Lanka,
Uchal Kudate Hanuman, Jay Shree Ram Jay Hanuman ॥

Sun Lo Araj Meri Salasar Wale

Sunlo Araj Meri Salasar Wale, Sumiran Hai Bandan Hai, Mujhe Charanon Se Laga Le,
O Baba Ghate Wale, Tere Bin Kon Sambhale, Hata Kar Badal Kale, Karo Ab Naye Ujale,
Sunlo Araj Meri Salasar Wale ॥

Sunle Fariyad Meri Aa Mujhe De Kinara

Ashara Ek Tera, Ek Tera Shahara, Sunle Fariyad Meri, Aa Mujhe De Kinara, Ashara Ek Tera,
Ek Tera Shahara ॥

Om Jai Jagdish Hare Aarti - Om Jai Jagdish Hare Aarti
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP