Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sare Tirath Dham Apke Charno Me (सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में - भजन)


Sare Tirath Dham Apke Charno Me
Sare Tirath Dham Apke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।
Hriday Mein Maa Gauri Lakshmi,
Kanth Sharda Mata Hai ।
Jo Bhi Mukh Se Vachan Kahen,
Vo Vachan Siddh Ho Jata Hai ।
Hain Guru Brahma, Hain Guru Vishnu,
Hain Shankar Bhagwan Aapke Charano Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Janam Ke Data Maat Pita Hain,
Aap Karam Ke Data Hain ।
Aap Milate Hain Ishwar Se,
Aap Hi Bhagya Vidhata Hain ।
Dukhiya Man Ko Rogi Tan Ko,
Milta Hai Aaram Aapke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Nirbal Ko Balwan Bana Do,
Murkh Ko Gunvan Prabhu ।
Devkamal Aur Vansi Ko Bhi,
Gyan Ka Do Vardan Guru ।
Hai Maha Dani Hai Maha Gyani,
Rahoon Main Subaho-shaam Aapke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Karta Kare Na Kar Sake,
Par Guru Kiye Sab Hoye ।
Saat Dweep Nau Khand Me,
Mere Guru Se Bada Na Koye ॥

Sab Dharti Kaagaz Karoon,
Lekhni Sab Vanray ।
Samudr Ko Syahi,
Par Guru Gun Likhyo Na Jaye ॥

Sare Tirath Dham Apke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में - भजन हिन्दी में पढ़ें

सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में। हे गुरुदेव प्रणाम आपके चरणो में।
Read Also

Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanPoonam Didi BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mere Angana Me Tulsi Ka Vyah Sakhiyo

Mere Angna Mein Tulsi Ka Byaah Sakhiyon। Patte Patte Pe Mohan Ka Naam Sakhiyon। Aaj Tulsi Ka Solah Sringar Sakhiyon..

Kala Kala Sanwariyan Hari Hari Tulsi

A popular devotional song (bhajan) sung during the month of Kartik and on the occasion of Tulsi Vivah Kala Kala Sanvariyan Hari Hari Tulsi, Bansi Bajave Sanwariya Lehre Leve Tulsi By Bhakti Bharat.

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Mere Banki Bihari Ka Aashik Yeh Jamana Hai

Koi Pagal Hai Inka, Koi Inka Deewana Hai, Mere Banke Bihari Ka, Aashiq Yeh Zamana Hai

Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP