Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Gurudev Daya Karke Mujhko Apna Lena (गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना - भजन)


Gurudev Daya Karke Mujhko Apna Lena
Main Sharan Pada Teri Charanon Mein Jagah Dena,
Gurudev Daya Karke Mujhko Apna Lena ।
Karunanidhi Naam Tera,
Karun Dikhlao Tum,
Soye Hue Bhagyo Ko,
He Nath Jagao Tum ।
Meri Nav Bhawar Dole,
Ise Paar Laga Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Jay Gurudeva, Jay Gurudeva .
Jay Gurudeva, Jay Gurudeva ॥

Tum Sukh Ke Sagar Ho,
Nirdhan Ke Sahare Ho,
Is Tan Mein Samaye Ho,
Mujhe Pranon Se Pyare Ho ।
Nitt Mala Japun Teri,
Nahin Dil Se Bhula Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Papi Hoon Ya Kapati Hoon,
Jaisa Bhi Hoon Tera Hoon,
Ghar Baar Chhod Kar,
Main Jeevan Se Khela Hoon ।
Duhkh Ka Maar Hoon Main,
Mera Dukhda Mita Dena,
Gurudev Daya Karke,
Mujhko Apna Lena ॥

Main Sab Ka Sevak Hoon,
Tere Charanon Ka Chera Hoon,
Nahin Nath Bhulana Mujhe,
Ise Jag Mein Akela Hoon ।
Tere Dar Ka Bhikhari Hoon,
Mere Dosh Mita Dena,
Gurudev Daya Karake,
Mujhako Apna Lena ॥

In Charnan Ki Paoon Seva,
Jay Gurudeva, Jay Gurudeva ।

गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना - भजन हिन्दी में पढ़ें

मैं शरण पड़ा तेरी चरणों में जगह देना, गुरुदेव दया करके मुझको अपना लेना।
Read Also

Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Prabhuji More Avgun Chit Naa Dharo

Prabhuji More Avgun Chit Na Dharo, Samdarshi Prabhu Naam Tiharo, Chaho to Paar Karo ।

Meera Bhayi Re Bavari - Bhajan

Jogan Bani Hai Bawari, Darshan Karao Na, mira darsh Ko Vyakul Hai kanha tum Aao Na, Jogan Bani Hai Bawari, Darshan Karao Na

Kahe Teri Akhiyo Me Pani

Meera deewani ho gayi re, Meera deewani ho gaya re। Meera Mastani Ho Gayi Re..

Tere Naam Ki Dhun Lagi

Tere Naam Ki Dhun Lagi, Man Hai Tera Matwala, Main Taan Hoon Murli Ki

Bhajan: Binati Suniye Nath Hamari

Gopaal Gokul Vallabhee, Priy Gop Gosut Vallabham, Charanaaravind Maham Bhaje, Bhajaneey Sur Muni Durlabham

Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP