Shri Hanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Tere Darshan Ko Ganraja Tere Darbar Aaye Hai (तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है: भजन)


Tere Darshan Ko Ganraja Tere Darbar Aaye Hai
Tere Darshan Ko Ganraja ॥
Doha – Naseeb Walon Ko Hey Ganraja,
Tera Deedar Hota Hai,
Jispe Hota Hai Najrekaram,
Uska Beda Paar Hota Hai ॥

Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Suna Hai Mainne Ganraya,
Tumhe Laddoo Hi Bhate Hai,
Suna Hai Mainne Ganraya,
Tumhe Laddoo Hi Bhate Hai,
Tumhare Bhog Mein Bhagwan,
Haan Laddoo Sath Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tumhe Doorva Sada Chadhti,
Log Aisa Sada Karte,
Tumhe Doorva Sada Chadhti,
Log Aisa Sada Karte,
Bel Paati Ke Sang Sang Mein,
Haan Doorva Haar Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tumhe Vastron Mein Peetambar,
Pahante Humne Dekha Hai,
Tumhe Vastron Mein Peetambar,
Pahante Humne Dekha Hai,
Ki Darji Se Bhi Silwakar,
Tumhare Vastr Lyae Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Suna Hai Taaje Phoolon Ke,
Tumhe Gajre Suhate Hai,
Suna Hai Taaje Phoolon Ke,
Tumhe Gajre Suhate Hai,
Baagon Se ‘suman Yogi’,
Sugandhit Phul Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है: भजन हिन्दी में पढ़ें

सुना है ताजे फूलों के, तुम्हे गजरे सुहाते है, सुना है ताजे फूलों के, तुम्हे गजरे सुहाते है, बागों से ‘सुमन योगी’, सुगन्धित फुल लाए है, तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tera Darbar O Baba Badi Kismat Se Milta Hai

तेरा दरबार ओ बाबा बड़ी क़िस्मत से मिलता है। जो आ जाए शरण तेरी तेरी किरपा से चलता है।

Somnath Mahadev Bholiya

Sōmanātha mahādēva bhōḷīyā karuṁ tamārī sēva, jaṭāmāṁ vasē māta gaṅgēva patitanē pāvana karatī

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge Lataon Me Brij Ki Gujara Karenge

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge, Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge । Kahin to Milenge Vo Banke Bihari...

Vaishnav Jan To Tene Kahiye Je

Vaishnav Jan To, Tene Kahiye Je, Peed Paraaye Jaane Re। Par Dukkhe Upkaar Kare Toye, Man Abhiman Na Anne Re...

Mann Mohan Murat Teri Prabhu

Man Mohan Murat Teri Prabhu, Mil Jaoge Aap Kahin Na Kahin । Yadi Chaah Hamare Dil Mein Hai,

Baba Tumse Gujarish Hai Mujhe Lene Tumhi Aana

Mere Jeevan Ki Ik Tamanna Hai, Is Tamanna Ko Poora Karo।

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP