Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi (आज अष्टमी की पूजा करवाउंगी: भजन)


Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi,
Hey Maiya Hey Maiya,
Sada Ho Teri Jay Maiya,
Maan Ki Murado Pe Paungi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥
Chhoti Chhoti Kanjako Ko,
Ghar Apne Bulaungi,
Charan Dhulaun, Tilak Lagaun,
Chunri Laal Udaungi,
Hey Maiya Hey Maiya,
Paar Laga Meri Maiya,
Mahima Sada Teri Gaungi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥

Ashtami Ka Din To Hota Hai,
Murade Pane Ka,
Khol Ke Rakhti Dwar Maiya,
Hey Maiya Hey Maiya,
Main Bhi Talungi Na Maiya,
Jholi Apni Maa Bharwaongi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥

Astha Bhujao Wali Maata,
Ashta Siddhiyo Ka Var De,
Satya Dagar Pe Chalne Ko,
Jivan Mera Sundar Kar De,
Hey Maiya Hey Maiya,
Paar Laga Meri Maiya,
Mahima Sada Main Teri Gaungi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥

Wo Hai KIsmat Wale Jinko,
Pyar Tera Mil Jata Hai,
Uska Ho kalyan Tere,
Maan Ko Jo Bha Jata Hai,
Hey Maiya Hey Maiya,
Meri Khabar Bhi Le Maiya,
Tera Upkar Na Bhulaungi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥

Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi,
Hey Maiya Hey Maiya,
Sada Ho Teri Jay Maiya,
Maan Ki Murado Pe Paungi,
Aaj Ashtami Ki Pooja Karwaongi,
Jyot Maiya Ji Ki Pawan Jagaungi ॥
आज अष्टमी की पूजा करवाउंगी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आज अष्टमी की पूजा करवाउंगी, ज्योत मैया जी की पावन जगाउंगी। हे मैया हे मैया, सदा हो तेरी जय मैया, मन की मुरादे मैं पाऊँगी, आज अष्टमी की पूजा करवाऊँगी, ज्योत मैया जी की पावन जगाउंगी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanAnuradha Paudwal Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tujhme Shiva Mujhme Shiva Tan Me Shiva Man Me Shiva

Ganga Nahaya Parvat Ko Paya Tu Hai Kaha, Ye Duniya Chhodi Maine Man Sajaya Tu Hai Kaha, Tum Darbadar Ki Raaho Mein Ya Ho Kahi Shivlo Mein...

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama