Aisa Pyar Baha De Maiya (ऐसा प्यार बहा दे मैया: भजन)


Ya Devi Aarva-Bhuteshu,
Daya-Roopen Sansthita ।
Namastasye Namastasye,
Namastasye Namo Namah ॥
Durga Durgati Door Kar,
Mangal Kar Sab Kaaj ।
Man Mandir Ujwal Karo,
Kripa Karake Aaj ॥
Aisa Pyar Baha De Maiya,
Charnon Se Lag Jaau Main ।
Sab Andhkar Mita De Maiya,
Daras Tera Kar Paun Main ॥

Jag Mein Aakar Jag Ko Maiya,
Ab Tak Na Pehchan Saka ।
Kyu Aaya Hoon Kahan Hai Jana,
Yeh Bhi Naa Main Jaan Saka ।
Tu Hai Agam Agochar Maiya,
Kaho Kaise Lakh Paun Main ॥
Aisa Pyar Baha De Maiya..॥

Kar Kirpa Jagdamb Bhavani,
Main Balak Nadan Hoon ।
Nahi Aaradhan Jap Tap Janoon,
Main Avaguna Ki Khan Hoon ।
De Aisa Vardan Hey Maiya,
Sumiran Tera Gaaun Main ॥
Aisa Pyar Baha De Maiya..॥

Main Balak Tu Maiya Meri,
Nis Din Teri Oth Hai ।
Teri Kirpa Se Hi Mitegi,
Bhitar Jo Bhi Khot Hai ।
Sharan Laga Le Mujhko Maiya,
Tujhpe Bali Bali Jaun Main ॥

Aisa Pyar Baha De Maiya,
Charnon Se Lag Jaau Main ।
Sab Andhkar Mita De Maiya,
Daras Tera Kar Paun Main ॥
ऐसा प्यार बहा दे मैया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ऐसा प्यार बहा दे मैया, चरणों से लग जाऊ मैं। सब अंधकार मिटा दे मैया..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri Bhajan

Other Popular Aisa Pyar Baha De Maiya Video

By Kavita Paudwal

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Chalo Bulawa Aaya Hai Mata Ne Bulaya Hai

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Mangal Ki Sewa Sun Meri Deva

Mangal Ki Seva Sun Meri Deva, Hath Jod Tere Dwar Khade । Pan Supari Dhwja Nariyal,

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Tere Jeevan Main Khushiyan Tamam Aayegi

Tere Jeevan Main Khushiyan, Tamam Aayegi, Le Ja Maa Ki Duaye, Ye Kaam Ayegi, Le Ja Maa Ki Duaye,
Ye Kaam Ayegi ॥